ADVERTISEMENT

तेरी इक चश्म-ए-रहमत से तेरा बीमार बेहतर है / Teri Ek Chashm-e-Rahmat Se Tera Bimar Behtar Hai

तेरी इक चश्म-ए-रहमत से तेरा बीमार बेहतर है
हज़ारों तिब्बी नुस्ख़ों से निगाह-ए-यार बेहतर है

जगह मिल जाए गर पा-पोश-गाह-ए-यार में मुझ को
ख़ुशा ये मसनद-ए-ताऊस से सद-बार बेहतर है

शहंशाही से बढ़ कर है तेरी पा-पोश-बरदारी
सिकंदर से तेरा इक ख़ादिम-ए-दरबार बेहतर है

मक़ाम-ओ-मर्तबा सारी ख़ुदाई में, मेरे आक़ा !
तेरा इस पार बेहतर है, तेरा उस पार बेहतर है

मेरे आक़ा से ख़ुश्बू ख़ुल्द की यूँ 'अर्ज़ करती है
हर इक ख़ुश्बू से तेरे जिस्म की महकार बेहतर है

तेरे लहजे का ज़ेर-ओ-बम है दिलकश आबशारों से
गुलिस्ताँ से तेरी गुफ़्तार का गुलज़ार बेहतर है

दिया है हुस्न-ए-कुल ने हुस्न ऐसा तेरी सूरत को
कि दीद-ए-हुस्न-ए-यूसुफ़ से तेरा दीदार बेहतर है

तेरे शीरीं-सुख़न से फूल झड़ते हैं फ़साहत के
जिन्हें चुन कर फ़साहत का हुआ मे'यार बेहतर है

हबीब-ए-किब्रिया के 'इश्क़ को दिल में मकीं कर ले
मुक़द्दर 'आलमीं में गर तुझे दरकार बेहतर है

खुला है "अय्युकुम मिस्ली" से ये 'उक़्दा, नदीम अख़्तर !
हर इक बेहतर से ज़ात-ए-हक़ का वो शहकार बेहतर है


शायर:
नदीम अख़्तर

ना'त-ख़्वाँ:
ख़ालिद हसनैन ख़ालिद
हाफ़िज़ उमर अत्तारी





teri ik chashm-e-rahmat se tera beemaar behtar hai
hazaaro.n tibbi nusKHo.n se nigaah-e-yaar behtar hai

jagah mil jaae gar paa-posh-gaah-e-yaar me.n mujh ko
KHusha ye masnad-e-taaoos se sad-baar behtar hai

shahanshaahi se ba.Dh kar hai teri paa-posh-bardaari
sikandar se tera ik KHaadim-e-darbaar behtar hai

maqaam-o-martaba saari KHudaai me.n, mere aaqa !
tera is paar behtar hai, tera us paar behtar hai

mere aaqa se KHushboo KHuld ki yu.n 'arz karti hai
har ik KHushboo se tere jism ki mehkaar behtar hai

tere lahje ka zer-o-bam hai dilkash aabshaaro.n se
gulistaa.n se teri guftaar ka gulzaar behtar hai

diya hai husn-e-kul ne husn aisa teri soorat ko
ki deed-e-husn-e-yusuf se tera deedaar behtar hai

tere sheeree.n-suKHan se phool jha.Dte hai.n fasaahat ke
jinhe.n chun kar fasaahat ka huaa me'yaar behtar hai

habeeb-e-kibriya ke 'ishq ko dil me.n makee.n kar le
muqaddar 'aalmee.n me.n gar tujhe darkaar behtar hai

khula hai "ayyukum misli" se ye 'uqda, Nadeem Akhtar !
har ik behtar se zaat-e-haq ka wo shahkaar behtar hai


Poet:
Nadeem Akhtar

Naat-Khwaan:
Khalid Hasnain Khalid
Hafiz Umar Attari

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

शैअन-लिल्लाह या अब्दुल क़ादिर | इधर भी निगाह-ए-करम ग़ौस-ए-आज़म / Shayian Lillah Ya Abdul Qadir | Idhar Bhi Nigah-e-Karam Ghous-e-Azam