बयाँ हो किस ज़बाँ से मर्तबा सिद्दीक़-ए-अकबर का / Bayan Ho Kis Zaban Se Martaba Siddiq-e-Akbar Ka

बयाँ हो किस ज़बाँ से मर्तबा सिद्दीक़-ए-अकबर का
है यार-ए-ग़ार महबूब-ए-ख़ुदा सिद्दीक़-ए-अकबर का

इलाही ! रहम फ़रमा ख़ादिम-ए-सिद्दीक़-ए-अकबर हूँ
तेरी रहमत के सदक़े, वास्ता सिद्दीक़-ए-अकबर का

रुसुल और अंबिया के बा'द जो अफ़ज़ल हो 'आलम से
ये 'आलम में है किस का मर्तबा ? सिद्दीक़-ए-अकबर का

गदा सिद्दीक़-ए-अकबर का ख़ुदा से फ़ज़्ल पाता है
ख़ुदा के फ़ज़्ल से मैं हूँ गदा सिद्दीक़-ए-अकबर का

हुए फ़ारूक़-ओ-'उस्मान-ओ-'अली जब दाख़िल-ए-बै'अत
बना फ़ख़्र-ए-सलासिल सिलसिला सिद्दीक़-ए-अकबर का

नबी का और ख़ुदा का मद्ह-गो सिद्दीक़-ए-अकबर है
नबी सिद्दीक़-ए-अकबर का, ख़ुदा सिद्दीक़-ए-अकबर का

'अली हैं उस के दुश्मन और वो दुश्मन 'अली का है
जो दुश्मन 'अक़्ल का, दुश्मन हुआ सिद्दीक़-ए-अकबर का

लुटाया राह-ए-हक़ में घर कई बार इस मोहब्बत से
कि लुट लुट कर, हसन ! घर बन गया सिद्दीक़-ए-अकबर का


शायर:
मौलाना हसन रज़ा ख़ान

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी





bayaa.n ho kis zabaa.n se martaba siddiq-e-akbar ka
hai yaar-e-Gaar mahboob-e-KHuda siddiq-e-akbar ka

ilaahi ! rahm farma KHaadim-e-siddiq-e-akbar hu.n
teri rahmat ke sadqe, waasta siddiq-e-akbar ka

rusul aur ambiya ke baa'd jo afzal ho 'aalam se
ye 'aalam me.n hai kis ka martaba ? siddiq-e-akbar ka

gada siddiq-e-akbar ka KHuda se fazl paata hai
KHuda ke fazl se mai.n hu.n gada siddiq-e-akbar ka

hue faarooq-o-'usmaan-o-'ali jab daaKHil-e-bai'at
bana faKHr-e-salaasil silsila siddiq-e-akbar ka

nabi ka aur KHuda ka mad.h-go siddiq-e-akbar ka
nabi siddiq-e-akbar ka, KHuda siddiq-e-akbar ka

'ali hai.n us ke dushman aur wo dushman 'ali ka hai
jo dushman 'aql ka, dushman huaa siddiq-e-akbar ka

luTaaya raah-e-haq me.n ghar kai baar is mohabbat se
ki luT luT kar, Hasan ! ghar ban gaya siddiq-e-akbar ka


Poet:
Maulana Hasan Raza Khan

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Bayan Ho Kis Zuban Se Martaba Siddiq e Akbar Ka Lyrics | Bayan Ho Kis Zaban Se Martaba Siddiq e Akbar Ka Lyrics in Hindi | Bayan Ho Kis Zuban Lyrics | Manqabat e Siddiq e Akbar Lyrics | Owais Raza Qadri Lyrics Bayan Ho Kis Zuban Se Martaba Siddiq e Akbar Ka Lyrics, Bayaan Ho Kis Zaban Se Martaba Siddiq e Akbar Ka Lyrics in Hindi, Bayaan Ho Kis Zubaan Se Bayan Ho Kis Zuban Se Martaba Siddiq e Akbar Ka Lyrics in Hindi, Hai Yaar e Gaar Mahboob e Khuda Siddiq e Akbar Ka Lyrics in Hindi, baya bayaa bayaan zaban zubaan zabaan zuba se siddique akbar siddike siddiqe sidike sidiqe sidik sidiq he yaare yare yar gar mehboob maheboob mahboobe mehboobe maheboobe khuda 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

ऐ शहंशाह-ए-मदीना अस्सलातु वस्सलाम / Aye Shahenshah-e-Madina Assalatu Wassalam

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

आक़ा ले लो सलाम अब हमारा / Aaqa Le Lo Salam Ab Hamara

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

ताजदार-ए-हरम ऐ शहंशाह-ए-दीं | तुम पे हर दम करोड़ों दुरूद-ओ-सलाम / Tajdar-e-Haram Aye Shahanshah-e-Deen | Tum Pe Har Dam Karodon Durood-o-Salam