शाह-ए-कौनैन की जिस शय पे नज़र हो जाए / Shaah-e-Kaunain Ki Jis Shai Pe Nazar Ho Jaae

शाह-ए-कौनैन की जिस शय पे नज़र हो जाए
संग-रेज़ा भी अगर हो तो गौहर हो जाए

मैं ये समझूँगा, मुझे दौलत-ए-कौनैन मिली
ज़िंदगी गर दर-ए-अहमद पे बसर हो जाए

मेरी फ़रियाद में इतना तो असर हो जाए
दिल जो तड़पे तो मुहम्मद को ख़बर हो जाए

हक़ ने बख़्शा है तसर्रुफ़ का शरफ़ आक़ा को
वो जो चाहें तो शब-ए-तार सहर हो जाए

एक हलकी सी तवज्जोह हो इधर भी आक़ा
जो हैं जूया-ए-करम, उन पे नज़र हो जाए

इस से पहले कि मेरी अर्ज़ वहाँ तक पहुँचे
मेरे अहवाल की आक़ा को ख़बर हो जाए

या नबी ! बख़्त-ए-सियाह मेरा फ़रोज़ाँ कर दे
सूरत-ए-ज़ेर जो है मिस्ल-ए-ज़बर हो जाए

लौट कर आए ब-फ़रमान-ए-नबी सूरज भी
इक इशारे से ही दो-लख़्त क़मर हो जाए

ज़िंदगी शुक्र के सज्दों में गुज़र जाए, मु'ईन !
एक मिस्रा' भी क़बूल उन को अगर हो जाए


शायर:
पीर ग़ुलाम मुईनुल-हक़ गीलानी

नात-ख़्वाँ:
इमरान अज़ीज़ मियाँ
ज़ोहैब अशरफ़ी





shaah-e-kaunain ki jis shai pe nazar ho jaae
sang-reza bhi agar ho to gauhar ho jaae

mai.n ye samjhunga, mujhe daulat-e-kaunain mili
zindagi gar dar-e-ahmad pe basar ho jaae

meri fariyaad me.n itna to asar ho jaae
dil jo ta.Dpe to muhammad ko KHabar ho jaae

haq ne baKHsha hai tasarruf ka sharaf aaqa ko
wo jo chaahe.n to shab-e-taar sahar ho jaae

ek halki si tawajjoh ho idhar bhi aaqa
jo hai.n jooya-e-karam, un pe nazar ho jaae

is se pahle ki meri arz wahaa.n tak pahunche
mere ahwaal ki aaqa ko KHabar ho jaae

ya nabi ! baKHt-e-siyaah mera farozaa.n kar de
soorat-e-zer jo hai misl-e-zabar ho jaae

laut kar aae ba-farmaan-e-nabi sooraj bhi
ik ishaare se hi do-laKHt qamar ho jaae

zindagi shukr ke sajdo.n me.n guzar jaae, Mu'een !
ek misra' bhi qabool un ko agar ho jaae


Poet:
Pir Ghulam Mueen ul Haq Gilani

Naat-Khwaan:
Imran Aziz Mian
Zohaib Ashrafi
Shah e Konain Ki Jis Shey Pe Nazar Ho Jaaye Lyrics, Shah e Konain Ki Jis Shay Pe Nazar Ho Jaae Lyrics, Shah e Konain Naat Lyrics in Hindi, shahe shaah shaahe kaunain shah-e-konain shah-e-kaunain shay she shai najar jae jaye lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai