आप मख़्दूम हैं और ख़ादिम हैं हम, ये ग़ुलामी का रिश्ता सलामत रहे / Aap Makhdoom Hain Aur Khadim Hain Ham, Ye Ghulami Ka Rishta Salamat Rahe

या अशरफ़ सरकार ! या अशरफ़ सरकार !

सरवरा, शाहा, करीमा, दस्तगीरा, अशरफ़ा
हुर्मत-ए-रूह-ए-पयंबर, यक नज़र कुन सू-ए-मा

आप मख़्दूम हैं और ख़ादिम हैं हम
ये ग़ुलामी का रिश्ता सलामत रहे
हम ग़ुलामों के दिल की ये आवाज़ है
आप का प्यारा रोज़ा सलामत रहे

आप सुलतान हैं, शाह-ए-सिमनान हैं
आप ज़हरा के आँगन का फ़ैज़ान हैं
आप आल-ए-नबी और जान-ए-'अली
ये किछौछा का जल्वा सलामत रहे

आप मख़्दूम हैं और ख़ादिम हैं हम
ये ग़ुलामी का रिश्ता सलामत रहे
हम ग़ुलामों के दिल की ये आवाज़ है
आप का प्यारा रोज़ा सलामत रहे

राहत-ए-दिल है ये राहत-ए-जान है
कपकपाते लबों की ये मुस्कान है
अल-मदद अशरफ़ा ! अल-मदद अशरफ़ा !
ये हमारा वज़ीफ़ा सलामत रहे

आप मख़्दूम हैं और ख़ादिम हैं हम
ये ग़ुलामी का रिश्ता सलामत रहे
हम ग़ुलामों के दिल की ये आवाज़ है
आप का प्यारा रोज़ा सलामत रहे

सारे मंतर, तिलिस्म-ओ-सहर कट गए
जिस को पीते ही सारे मरज़ छट गए
है हमारे लिए तो ये आब-ए-हयात
आप का नीर बहता सलामत रहे

आप मख़्दूम हैं और ख़ादिम हैं हम
ये ग़ुलामी का रिश्ता सलामत रहे
हम ग़ुलामों के दिल की ये आवाज़ है
आप का प्यारा रोज़ा सलामत रहे

फ़िक्र ही अब नहीं ग़म मिले या ख़ुशी
कैसे गुज़रेगी जामी की ये ज़िंदगी
अशरफ़ा तेरे दामन में रहना है बस
तेरे दामन का साया सलामत रहे

आप मख़्दूम हैं और ख़ादिम हैं हम
ये ग़ुलामी का रिश्ता सलामत रहे
हम ग़ुलामों के दिल की ये आवाज़ है
आप का प्यारा रोज़ा सलामत रहे


शायर:
सय्यिद जामी अशरफ़

ना'त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी





ya ashraf sarkaar ! ya ashraf sarkaar !

sarwara, shaaha, kareema
dast-geera, ashrafa
hurmat-e-rooh-e-payambar
yak nazar kun soo-e-maa

aap maKHdoom hai.n aur KHaadim hai.n ham
ye Gulaami ka rishta salaamat rahe
ham Gulaamo.n ke dil ki ye aawaaz hai
aap ka pyaara roza salaamat rahe

aap sultaan hai.n, shaah-e-simnaan hai.n
aap zahra ke aangan ka faizaan hai.n
aap aal-e-nabi aur jaan-e-'ali
ye kichhauchha ka jalwa salaamat rahe

aap maKHdoom hai.n aur KHaadim hai.n ham
ye Gulaami ka rishta salaamat rahe
ham Gulaamo.n ke dil ki ye aawaaz hai
aap ka pyaara roza salaamat rahe

raahat-e-dil hai ye raahat-e-jaan hai
kapkapaate labo.n ki ye muskaan hai
al-madad ashrafa ! al-madad ashrafa !
ye hamaara wazeefa salaamat rahe

aap maKHdoom hai.n aur KHaadim hai.n ham
ye Gulaami ka rishta salaamat rahe
ham Gulaamo.n ke dil ki ye aawaaz hai
aap ka pyaara roza salaamat rahe

saare mantar, tilism-o-sahar kaT gae
jis ko peete hi saare maraz chhaT gae
hai hamaare liye to ye aab-e-hayaat
aap ka neer bahta salaamat rahe

aap maKHdoom hai.n aur KHaadim hai.n ham
ye Gulaami ka rishta salaamat rahe
ham Gulaamo.n ke dil ki ye aawaaz hai
aap ka pyaara roza salaamat rahe

fikr hi ab nahi.n Gam mile ya KHushi
kaise guzregi Jaami ki ye zindagi
ashrafa tere daaman me.n rahna hai bas
tere daaman ka saaya salaamat rahe

aap maKHdoom hai.n aur KHaadim hai.n ham
ye Gulaami ka rishta salaamat rahe
ham Gulaamo.n ke dil ki ye aawaaz hai
aap ka pyaara roza salaamat rahe


Poet:
Syed Jami Ashraf

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Manqabat Makhdoom Ashraf Simnani in Hindi, Aap Makhdoom Hain Aur Khadim Hain Ham Ye Ghulami Ka Rishta Salamat Rahe Lyrics, Kalam of Jami Ashraf makhdum asharaf semanani semnaani simnaani he hai or khaadim hum ye gulami rista Aap Makhdoom Hain Aur Khadim Hain Ham, Ye Ghulami Ka Rishta Salamat Rahe hai or hum ghulaami gulaami gulami salaamat lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

सरवरा शाहा करीमा दस्तगीरा अशरफ़ा | अशरफ़ी तराना / Sarwara Shaha Karima Dastagira Ashrafa | Ashrafi Tarana