हज़रत-ए-सिद्दीक़-ए-अकबर सारी उम्मत के इमाम / Hazrat-e-Siddiq-e-Akbar Saari Ummat Ke Imaam

हज़रत-ए-सिद्दीक़-ए-अकबर सारी उम्मत के इमाम
दम-ब-दम मेरी तरफ़ से उन की ख़िदमत में सलाम

अपने घर का सब असासा पेश कर के यूँ कहा
या नबी ! बाक़ी रहे अब आप और रब्बुल-अनाम

अपने घर का सब असासा पेश कर के यूँ कहा
या नबी ! काफ़ी हैं मुझ को आप और रब्बुल-अनाम

सब से बढ़ कर हैं फ़ज़ीलत में वो बा'द-ए-अम्बिया
है गवाह इस पर यक़ीनन हर मुसलमाँ ख़ास-ओ-'आम

हज़रत-ए-फ़ारूक़-ए-आ'ज़म और ज़ुन्नुरैन के
बल्कि हैं हर तौर वो मौला 'अली के भी इमाम

मुस्तफ़ा के 'इश्क़ का हक़ ऐसा पूरा कर दिया
हो गया अल्लाह राज़ी और आक़ा-ए-अनाम

वो 'इबादत और इता'अत में थे सर-गर्म-ए-'अमल
उन की सीरत सीरत-ए-अहमद का नक़्शा बा-कमाल

वो ख़िलाफ़त-ए-राशिदा के सर के ऐसे ताज हैं
हर कोई करता है झुक कर उन की अज़मत को सलाम

नक़्शबंदी सिलसिले के शैख़-ए-अव्वल हैं वोही
और रसूलुल्लाह के पहले ख़लीफ़ा-ए-मुराम

ख़ल्क़ के सरदार ने सरदार-ए-उम्मत कर दिया
कर दो, सरदार ! इस पे अपनी गुफ़्तुगू का इख़्तितात

ख़ल्क़ के सरदार ने सरदार-ए-उम्मत कर दिया
कर दो, ए सरदार ! इस पर मन्क़बत का इख़्तिताम


शायर:
मुफ़्ती सरदार अली नक़्शबंदी

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी





hazrat-e-siddiq-e-akbar saari ummat ke imaam
dam-ba-dam meri taraf se un ki KHidmat me.n salaam

apne ghar ka sab asaasa pesh kar ke yu.n kaha
ya nabi ! baaqi rahe ab aap aur rabbul-anaam

apne ghar ka sab asaasa pesh kar ke yu.n kaha
ya nabi ! kaafi hai.n mujh ko aap aur rabbul-anaam

sab se ba.Dh kar hai.n fazeelat me.n wo baa'd-e-ambiya
hai gawaah is par yaqeenan har musalmaa.n KHaas-o-'aam

hazrat-e-faarooq-e-aa'zam aur zunnurain ke
balki hai.n har taur wo maula 'ali ke bhi imaam

mustafa ke 'ishq ka haq aisa poora kar diya
ho gaya allah raazi aur aaqa-e-anaam

wo 'ibaadat aur itaa'at me.n the sar-garm-e-'amal
un ki seerat seerat-e-ahmad ka naqsha baa-kamaal

wo KHilaafat-e-raashida ke sar ke aise taaj hai.n
har koi karta hai jhuk kar un ki azmat ko salaam

naqshbandi silsile ke shaiKH-e-awwal hai.n wohi
aur rasoolullah ke pehle KHalifa-e-muraam

KHalq ke sardaar ne sardaar-e-ummat kar diya
kar do, Sardaar ! is pe apni guftugu ka iKHtitaam

KHalq ke sardaar ne sardaar-e-ummat kar diya
kar do, ai Sardaar ! is par manqabat ka iKHtitaam


Poet:
Mufti Sardar Ali Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Muhammad Hassan Raza Qadri
Hazrat e Siddiq e Akbar Saari Ummat Ke Imam Lyrics, Dam Ba Dam Meri Taraf Se Unki Khidmat Me Salam Lyrics, Manqabat Siddique Akbar Lyrics in Hindi hazrate siddiqu siddique sari umat dambadam dam badam un ki khidamat mein main mei mai salaam lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

ऐ शहंशाह-ए-मदीना अस्सलातु वस्सलाम / Aye Shahenshah-e-Madina Assalatu Wassalam

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

आक़ा ले लो सलाम अब हमारा / Aaqa Le Lo Salam Ab Hamara

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

ताजदार-ए-हरम ऐ शहंशाह-ए-दीं | तुम पे हर दम करोड़ों दुरूद-ओ-सलाम / Tajdar-e-Haram Aye Shahanshah-e-Deen | Tum Pe Har Dam Karodon Durood-o-Salam