जिस के लब पर अली अली होगा | उस के दिल में नबी नबी होगा / Jis Ke Lab Par Ali Ali Hoga | Us Ke Dil Mein Nabi Nabi Hoga

जिस के लब पर 'अली 'अली होगा
उस के दिल में नबी नबी होगा
साफ़ ज़ाहिर है इस वसीले से
ऐसा इंसान जन्नती होगा

पूछ लो ये हरीम-ए-का'बा से
चाहे ज़मज़म से, शहर-ए-तयबा से
जिस के दिल में हसन-हुसैन नहीं
सर से पा तक वो दोज़ख़ी होगा

एक माँगो तो सौ 'अता कर दे
और भरी ख़ुल्द तक हिबा कर दे
जिस को कहते हैं क़ासिम-ए-ने'मत
सोचो किस शान का सख़ी होगा

शहर-ए-तयबा का जो फ़क़ीर हुवा
वो अमीरों का भी अमीर हुवा
जिस की झोली में इक चवन्नी है
वो जहाँ का खरब-पती होगा

जिस के क़ब्ज़े में कुल ख़ुदाई है
जिस का बिस्तर तो इक चटाई है
का'बा-क़ौसैन जिस की मंज़िल हो
रब का महबूब वाक़ि'ई होगा

जिस की ता'ज़ीम में फ़रिश्ते झुकें
जिस की तकरीम अंबिया भी करें
मुक़्तदी जिस के अंबिया सारे
वो तो नबियों का भी नबी होगा

नाम से अपने नेक-नाम बनो
ग़ौस-ए-बग़दाद के ग़ुलाम बनो
जिस को निस्बत है ग़ौस-ए-आ'ज़म से
सिलसिला उस का क़ादरी होगा

सुन्नत-ए-मुस्तफ़ा का पैकर हो
'इश्क़-ओ-'इरफ़ान का समंदर हो
देख कर जिस को याद आए ख़ुदा
वो तो अल्लाह का वली होगा

आ'ला हज़रत का फ़ैसला सुन लो
इस को मोती समझ के तुम चुन लो
जो भी मेरे नबी का दुश्मन है
एक नंबर का दोज़ख़ी होगा

दिल में बुग़्ज़-ए-नबी का लावा है
जिस का सज्दा भी इक दिखावा है
ये मुनाफ़िक़ की इक 'अलामत है
उस का ईमान ऊपरी होगा

ज़िंदगी का सफ़र हुज़ूर के नाम
जिस की शाम-ओ-सहर हुज़ूर के नाम
'उम्र गुज़री हो जिस की तयबा में
उस का हर लम्हा क़ीमती होगा

अहल-ए-सुन्नत का दिल से शैदा है
सब बुज़ुर्गों से प्यार करता है
जो रहे दूर सुल्ह-ए-कुल्ली से
वो तो शैदा-ए-अज़हरी होगा


ना'त-ख़्वाँ:
असद इक़बाल कलकत्तवी





jis ke lab par 'ali 'ali hoga
us ke dil me.n nabi nabi hoga
saaf zaahir hai is waseele se
aisa insaan jannati hoga

poochh lo ye hareem-e-kaa'ba se
chaahe zamzam se, shehr-e-tayba se
jis ke dil me.n hasan-husain nahi.n
sar se paa tak wo dozaKHi hoga

ek maango to sau 'ata kar de
aur bhari KHuld tak hiba kar de
jis ko kehte hai.n qaasim-e-ne'mat
socho kis shaan ka saKHi hoga

shehr-e-tayba ka jo faqeer huwa
wo ameero.n ka bhi ameer huwa
jis ki jholi me.n ik chawanni hai
wo jahaa.n ka kharab-pati hoga

jis ke qabze me.n kul KHudaai hai
jis ka bistar to ik chaTaai hai
kaa'ba-qausain jis ki manzil ho
rab ka mehboob waaqi'ee hoga

jis ki taa'zim me.n farishte jhuke.n
jis ki takreem ambiya bhi kare.n
muqtadi jis ke ambiya saare
wo to nabiyo.n ka bhi nabi hoga

naam se apne nek-naam bano
Gaus-e-baGdaad ke Gulaam bano
jis ko nisbat hai Gaus-e-aa'zam se
silsila us ka qaadri hoga

sunnat-e-mustafa ka paikar ho
'ishq-o-'irfaan ka samandar ho
dekh kar jis ko yaad aae KHuda
wo to allah ka wali hoga

aa'la hazrat ka faisla sun lo
is ko moti samajh ke tum chun lo
jo bhi mere nabi ka dushman hai
ek number ka dozaKHi hoga

dil me.n buGz-e-nabi ka laawa hai
jis ka sajda bhi ik dikhaawa hai
ye munaafiq ki ik 'alaamat hai
us ka imaan oopri hoga

zindagi ka safar huzoor ke naam
jis ki shaam-o-sahar huzoor ke naam
'umr guzri ho jis ki tayba me.n
us ka har lamha qeemati hoga

ahl-e-sunnat ka dil se shaida hai
sab buzurgo.n se pyaar karta hai
jo rahe door sulh-e-kulli se
wo to shaida-e-az.hari hoga


Naat-Khwaan:
Asad Iqbal Kalkattavi
Jis Ke Lab Par Ali Ali Hoga Lyrics | Jiske Lab Par Ali Ali Hoga Lyrics in Hindi | Us Ke Dil Me Nabi Nabi Hoga Lyrics | Zindagi Ka Safar Huzoor Ke Naam | uske mei main main | Asad Iqbal Naat Lyrics | lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

फ़ज़्ल-ए-रब्ब-ए-पाक से भाई मेरा दूल्हा बना | मदनी सेहरा / Fazl-e-Rabb-e-Pak Se Bhai Mera Dulha Bana | Madani Wedding Sehra

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ki Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasaai Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)