उन की जाली वो समाँ और वो रौज़ा उन का / Un Ki Jali Wo Sama Aur Wo Rauza Un Ka

उन की जाली, वो समाँ और वो रौज़ा उन का
कितना पुर-नूर है, वल्लाह ! वो कूचा उन का

देख कर गुंबद-ए-ख़ज़रा वो धड़कना दिल का
याद आता है मुझे रोज़ मदीना उन का

हैं अबू-बक्र-ओ-'उमर और ग़नी, मौला 'अली
बीच में चारों के बैठा है वो आक़ा उन का

रौज़ा-ए-सय्यिदा-ज़हरा से जो देखा मैं ने
आज तक क़ैद है आँखों में नज़ारा उन का

हो गया नूर से मा'मूर ज़माना सारा
ऐसा चमका था शब-ए-नूर वो चेहरा उन का

दो ही लफ़्ज़ों में बदल डाली 'उमर की दुनिया
कितना मीठा था ख़ुदा जाने वो लहज़ा उन का

हश्र में आक़ा को मुँह कैसे दिखाएगा ज़लील
मुँह छुपा लेगा सर-ए-हश्र कमीना उन का

हूँ गुनहगार मगर फिर भी भरोसा है मुझे
बख़्शवा लेगा मुझे हश्र में सज्दा उन का

सय्यिदा ही ने तो पाला है शबाहत को जनाब
उन के ही नाम से मशहूर है बेटा उन का


शायर:
सय्यिद शबाहत हुसैन

ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





un ki jaali, wo samaa.n aur wo rauza un ka
kitna pur-noor hai, wallah ! wo koocha un ka

dekh kar gumbad-e-KHazra wo dha.Dakna dil ka
yaad aata hai mujhe roz madina un ka

hai.n abu-bakr-o-'umar aur Gani, maula 'ali
beech me.n chaaro.n ke baiTha hai wo aaqa un ka

rauza-e-sayyida-zahra se jo dekha mai.n ne
aaj tak qaid hai aankho.n me.n nazaara un ka

ho gaya noor se maa'moor zamaana saara
aisa chamka tha shab-e-noor wo chehra un ka

do hi lafzo.n me.n badal Daali 'umar ki duniya
kitna meeTha tha KHuda jaane wo lehza un ka

hashr me.n aaqa ko munh kaise dikhaaega zaleel
munh chhupa lega sar-e-hashr kameena un ka

hu.n gunahgaar magar phir bhi bharosa hai mujhe
baKHshwa lega mujhe hashr me.n sajda un ka

sayyida hi ne to paala hai Shabaahat ko janaab
un ke hi naam se mash.hoor hai beTa un ka


Poet:
Sayyed Shabahat Hussain

Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi
Unki Jali Wo Sama Aur Wo Rauza Unka Lyrics | Unki Jali Wo Sama Aur Wo Rauza Unka Lyrics in Hindi | Muhammad Ali Faizi Naat Lyrics in Hindi | Saman or roza lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

फ़लक के नज़ारो ज़मीं की बहारो | हुज़ूर आ गए हैं / Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo | Huzoor Aa Gaye Hain