ज़ात पर उन की नाज़ाँ हैं अहल-ए-नज़र | ख़ूब-रू ख़ूब-सीरत हैं अख़्तर रज़ा | Zaat Par Un Ki Nazan Hain Ahl-e-Nazar | KHoob-roo KHoob-Seerat Hain Akhtar Raza

ज़ात पर उन की नाज़ाँ हैं अहल-ए-नज़र
ख़ूब-रू, ख़ूब-सीरत हैं अख़्तर रज़ा
पैकर-ए-ज़ोहद-ओ-तक़्वा ज़माना कहे
और ताज-ए-शरी'अत हैं अख़्तर रज़ा

जो हैं ख़ुद भी वली, जिन के वालिद वली
ऐसे नाना कि है नाज़ तक़्वा को भी
दादा हामिद रज़ा जिन का सानी नहीं
और गुल-ए-आ'ला-हज़रत हैं अख़्तर रज़ा

आए गुलशन में वो फूल खिलने लगे
कोयल-ओ-क़ुमरी, मैना चहकने लगे
डालियाँ, ग़ुंचा-ओ-गुल महकने लगे
गुलशन-ओ-गुल की ज़ीनत हैं अख़्तर रज़ा

जो भी उन से जुड़ा, रौशनी मिल गई
उस के ईमान को ताज़गी मिल गई
मिट गई है ख़ुदी, बेख़ुदी मिल गई
रहबर-ए-दीन-ओ-मिल्लत हैं अख़्तर रज़ा

वो मुसन्निफ़, मुहद्दिस, मुफ़क्किर भी हैं
वो मुहक़्क़िक़, मुदब्बिर, मुफ़स्सिर भी हैं
वो फ़क़ीह-ए-ज़माँ हैं, मुनाज़िर भी हैं
और पीर-ए-तरीक़त हैं अख़्तर रज़ा

वो जो महफ़िल में आए समाँ बन गया
उन के नूरानी रुख़ से जो पर्दा उठा
क्या 'अजम क्या 'अरब हर किसी ने कहा
किस-क़दर ख़ूबसूरत हैं अख़्तर रज़ा

उन के जैसा न पाओगे मुर्शिद यहाँ
छान लो चाहे तुम मिल के सारा जहाँ
फ़ख़्र-ए-अज़हर हैं वो, सुन्नियों की वो जाँ
और सरापा करामत हैं अख़्तर रज़ा

बात उन के जनाज़े की जब भी हुई
अल्लाह अल्लाह ! हैराँ हुआ हर कोई
दिल है जिन पर फ़िदा, 'आसिम-उल-क़ादरी !
हाँ वोही प्यारे हज़रत हैं अख़्तर रज़ा


शायर:
मुहम्मद आसिम-उल-क़ादरी मुरादाबादी

ना'त-ख़्वाँ:
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुसैनी रहमानी





zaat par un ki naazaa.n hai.n ahl-e-nazar
KHoob-roo, KHoob-seerat hai.n aKHtar raza
paikar-e-zohd-o-taqwa zamaana kahe
aur taaj-e-sharee'at hai.n aKHtar raza

jo hai.n KHud bhi wali, jin ke waalid wali
aise naana ki hai naaz taqwa ko bhi
daada haamid raza jin ka saani nahi.n
aur gul-e-aa'la-hazrat hai.n aKHtar raza

aae gulshan me.n wo phool khilne lage
koyal-o-qumri, maina chahakne lage
Daaliyaa.n, Guncha-o-gul mahakne lage
gulshan-o-gul ki zeenat hai.n aKHtar raza

jo bhi un se ju.Dam raushni mil gai
us ke imaan ko taazgi mil gai
miT gai hai KHudi, beKHudi mil gai
rehbar-e-deen-o-millat hai.n aKHtar raza

wo musannif, muhaddis, mufakkir bhi hai.n
wo muhaqqiq, mudabbir, mufassir bhi hai.n
wo faqeeh-e-zamaa.n hai.n, munaazir bhi hai.n
aur peer-e-tareeqat hai.n aKHtar raza

wo jo mehfil me.n aae samaa.n ban gaya
un ke nooraani ruKH se jo parda uTha
kya 'ajam kya 'arab har kisi ne kaha
kis-qadar KHoobsoorat hai.n aKHtar raza

us ke jaisa na paaoge murshid yahaa.n
chhaan lo chaahe tum mil ke saara jahaa.n
faKHr-e-azhar hai.n wo, sunniyo.n ki wo jaa.n
aur saraapa karaamat hai.n aKHtar raza

baat un ke janaaze ki jab bhi hui
allah allah ! hairaa.n huaa har koi
dil hai jin par fida, 'Aasim-ul-Qadri !
haa.n wohi pyaare hazrat hai.n aKHtar raza


Poet:
Muhammad Asim Ul Qadri Muradabadi

Naat-Khwaan:
Syed Hassan ullah Hussaini Rahmani
Zaat Par Un Ki Nazan Hain Ahl e Nazar Lyrics in Hindi | KHoob roo KHoob Seerat Hain Akhtar Raza Lyrics | Aur Taaj e Shariat Hain Akhtar Raza Lyrics | Manqabat e Akhtar Raza | Manqabat e Tajushshariya Lyrics in Hindi | unki naazaan naza naazaa hai ahle khoobroo lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बे-ख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Be-Khud Kiye Dete Hain Andaaz-e-Hijabana

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

कोई दुनिया-ए-अता में नहीं हमता तेरा | तज़मीन - वाह ! क्या जूद-ओ-करम है, शह-ए-बतहा ! तेरा / Koi Duniya-e-Ata Mein Nahin Hamta Tera | Tazmeen of Waah ! Kya Jood-o-Karam Hai, Shah-e-Bat.ha ! Tera

कोई गुल बाक़ी रहेगा न चमन रह जाएगा / Koi Gul Baqi Rahega Na Chaman Reh Jayega

ताजदार-ए-हरम ऐ शहंशाह-ए-दीं | तुम पे हर दम करोड़ों दुरूद-ओ-सलाम / Tajdar-e-Haram Aye Shahanshah-e-Deen | Tum Pe Har Dam Karodon Durood-o-Salam