ADVERTISEMENT

अव्वल हैं वही आख़िर हैं वही | सरकार के जैसा कोई नहीं / Awwal Hain Wahi Aakhir Hain Wahi | Sarkar Ke Jaisa Koi Nahin

अव्वल हैं वही, आख़िर हैं वही, सरकार के जैसा कोई नहीं
ईसा, मूसा कहते हैं सभी, सरकार के जैसा कोई नहीं

ज़ुल्फ़ों को कहे वल्लैल ख़ुदा और आँखों को मा-ज़ाग़ कहा
लिक्खा है कलाम-ए-पाक में भी, सरकार के जैसा कोई नहीं

सदक़े हैं नबी के शम्स-ओ-क़मर, देते हैं सलामी शजर-ओ-हजर
मर्ज़ी सब पर आक़ा की चली, सरकार के जैसा कोई नहीं

दिल से न गया आक़ा का ख़याल, थे चूर बहुत ज़ख़्मों से बिलाल
फिर भी लब पर था उन के यही, सरकार के जैसा कोई नहीं

बच्चों को दूध पिला आई, वा'दे को अपने निभा आई
हिरनी लौटी और कहने लगी, सरकार के जैसा कोई नहीं

सिद्दीक़ को अपना यार किया, 'उस्मान-ए-ग़नी से प्यार किया
कहते हैं यही फ़ारूक़-ओ-'अली, सरकार के जैसा कोई नहीं

मारहरा, बरेली वाले हों, वो चाहे मसौली वाले हों
फ़रमाते हैं सब पीर-ओ-वली, सरकार के जैसा कोई नहीं

मँझधार में हूँ बिगड़ी है हवा, ये बोले बरेली से मेरे रज़ा
अब नय्या लगाओ पार मेरी, सरकार के जैसा कोई नहीं

मीलाद नबी का मनाएँगे, झंडे हम यूँही लगाएँगे
तू जल जल कर मर जा, नज्दी ! सरकार के जैसा कोई नहीं


ना'त-ख़्वाँ:
नूर अली नूर कानपुरी





awwal hai.n wahi, aakhir hai.n wahi
sarkaar ke jaisa koi nahi.n
isa, moosa kehte hai.n sabhi
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

zulfo.n ko kahe wallail KHuda
aur aankho.n ko maa-zaaG kaha
likkha hai kalaam-e-paak me.n bhi
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

sadqe hai.n nabi ke shams-o-qamar
dete hai.n salaami shajar-o-hajar
marzi sab par aaqa ki chali
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

dil se na gaya aaqa ka KHayaal
the choor bahut zaKHmo.n se bilaal
phir bhi lab par tha un ke yahi
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

bachcho.n ko dhoodh pila aai
waa'de ko apne nibha aai
hirni lauTi aur kehne lagi
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

siddiq ko apna yaar kiya
'usmaan-e-Gani se pyaar kiya
kehte hai.n yahi faarooq-o-'ali
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

maarehra, bareli waale ho.n
wo chaahe masauli waale ho.n
farmaate hai.n sab peer-o-wali
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

manjhdhaar me.n hu.n big.Di hai hawa
ye bole bareli se mere raza
ab nayya lagaao paar meri
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

meelaad nabi ka manaaenge
jhande ham yunhi lagaaenge
tu jal jal kar mar jaa, najdi !
sarkaar ke jaisa koi nahi.n


Naat-Khwaan:
Noor Ali Noor Kanpuri

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai