ज़बान-ओ-गोश को सारे गुनाहों से सफ़ा कर दें | मुनव्वर मेरी आँखों को मेरे शम्सुद्दुहा कर दें तज़मीन के साथ / Zaban-o-Gosh Ko Saare Gunahon Se Safa Kar Den | Muanawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsudduha Kar Den With Tazmeen

ज़बान-ओ-गोश को सारे गुनाहों से सफ़ा कर दें
जबीन-ए-'इश्क़ को रौशन मेरी बहर-ए-ख़ुदा कर दें
मेरे क़ल्ब-ओ-जिगर को, मेरे आक़ा ! बा-वफ़ा कर दें
मुनव्वर मेरी आँखों को, मेरे शम्सुद्दुहा ! कर दें
ग़मों की धूप में वो साया-ए-ज़ुल्फ़-ए-दोता कर दें

मेरे सिद्दीक़-ए-अकबर को इमाम-उल-अतक़िया कर दें
'उमर, 'उस्मान को 'अद्ल-ओ-वफ़ा का आईना कर दें
'अली को मिस्ल-ए-हारूँ अपना नाइब मुस्तफ़ा कर दें
जहाँ-बानी 'अता कर दें, भरी जन्नत हिबा कर दें
नबी मुख़्तार-ए-कुल हैं, जिस को जो चाहें 'अता कर दें

मसीह-ए-पाक जिस को दम से जान-ए-नौ 'अता कर दें
मेरे मुख़्तार आक़ा उस को ठोकर से अदा कर दें
मेहर पलटे, क़मर शक़ हो, इशारा गर शहा कर दें
जहाँ में उन की चलती है, वो दम में क्या से क्या कर दें
ज़मीं को आसमाँ कर दें, सुरय्या को सरा कर दें

गिरफ़्तार-ए-मुसीबत को वो पल भर में छुड़ाते हैं
जिसे जब चाहते हैं अपने रौज़े पर बुलाते हैं
ओवैस-ओ-हज़रत-ए-हब्शी की तमसीलें दिखाते हैं
किसी को वो हँसाते हैं, किसी को वो रुलाते हैं
वो यूँही आज़माते हैं, वो अब तो फ़ैसला कर दें

वहाबी देव के बंदो से उक्ता सी गई दुनिया
रवाफ़िज़ की शरर-बाज़ी से उक्ता सी गई दुनिया
सुल्ह-ए-कुल ख़ानक़ाहों से भी उक्ता सी गई दुनिया
सग-ए-आवारा-ए-सहरा से उक्ता सी गई दुनिया
बचाओ अब ज़माने का सगान-ए-मुस्तफ़ा कर दें

मुनव्वर 'अर्श को भी कर गया नक़्श-ए-क़दम जिन का
बना जिन का न साया, कैसे फिर ख़ाका बने उन का
लक़ब शम्सुद्दुहा, बदरुद्दुजा, नूर-उल-हुदा उन का
तबस्सुम से गुमाँ गुज़रे शब-ए-तारीक पर दिन का
ज़िया-ए-रुख़ से दीवारों को रौशन आईना कर दें

चलो, ऐ सुन्नियो ! गुस्ताख़ का क़ल'आ-क़मा' कर दें
नबी की 'अज़मत-ओ-नामूस पर सब कुछ फ़िदा कर दें
सहाबा, औलिया से अपने रिश्तों को खरा कर दें
जहाँ में 'आम पैग़ाम-ए-शह-ए-अहमद-रज़ा कर दें
पलट कर पीछे देखें फिर से तज्दीद-ए-वफ़ा कर दें

मेरे अहबाब ! आओ आज मिल कर इक सदा कर दें
नबी का जो हमारा वो ये अहद-ए-बा-वफ़ा कर दें
इमाम अहमद रज़ा के मस्लक-ए-हक़ की जिला कर दें
नबी से जो हो बेगाना, उसे दिल से जुदा कर दें
पिदर, मादर, बिरादर, माल-ओ-जाँ उन पर फ़िदा कर दें

भला आएँगी कैसे अब बलाएँ, क़ादरी ! तुझ पर
हुज़ूर-ए-क़ाइद-ए-मिल्लत का दस्त-ए-फ़ैज़ है तुझ पर
बलाओं को भगाता हूँ हमेशा शे'र ये पढ़ कर
मुझे क्या फ़िक्र हो, अख़्तर ! मेरे यावर हैं वो यावर
बलाओं को मेरी जो ख़ुद गिरफ़्तार-ए-बला कर दें


कलाम:
मुफ़्ती अख़्तर रज़ा ख़ान

तज़मीन:
मुहम्मद रफ़ीक़ रज़ा क़ादरी

ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद रफ़ीक़ रज़ा क़ादरी





zabaan-o-gosh ko saare gunaaho.n se safa kar de.n
jabeen-e-'ishq ko raushan meri bahr-e-KHuda kar de.n
mere qalb-o-jigar ko, mere aaqa ! baa-wafa kar de.n
munawwar meri aankho.n ko, mere shamsudduha ! kar de.n
Gamo.n ki dhoop me.n wo saaya-e-zulf-e-dota kar de.n

mere siddiq-e-akbar ko imaam-ul-atqiya kar de.n
'umar, 'usmaan ko 'adl-o-wafa ka aaina kar de.n
'ali ko misl-e-haaru.n apna naaib mustafa kar de.n
jaha.n-baani 'ata kar de.n, bhari jannat hiba kar de.n
nabi muKHtaar-e-kul hai.n, jis ko jo chaahe.n 'ata kar de.n

maseeh-e-paak jis ko dam se jaan-e-nau 'ata kar de.n
mere muKHtaar aaqa us ko Thokar se ada kar de.n
mehr palTe, qamar shaq ho, ishaara gar shahaa kar de.n
jaha.n me.n un ki chalti hai, wo dam me.n kya se kya kar de.n
zamee.n ko aasmaa.n kar de.n, surayya ko sara kar de.n

giraftaar-e-museebat ko wo pal bhar me.n chhu.Daate hai.n
jise jab chaahte hai.n apne rauze par bulaate hai.n
owais-o-hazrat-e-habshi ki tamseele.n dikhaate hai.n
kisi ko wo hansaate hai.n, kisi ko wo rulaate hai.n
wo yu.nhi aazmaate hai.n, wo ab to faisla kar de.n

wahaabi dew ke bando.n se ukta si gai duniya
rawaafiz ki sharar-baazi se ukta si gai duniya
sulh-e-kul KHaanqaaho.n se bhi ukta si gai duniya
sag-e-aawaara-e-sahra se ukta si gai duniya
bachaao ab zamaane ka sagaan-e-mustafa kar de.n

munawwar 'arsh ko bhi kar gaya naqsh-e-qadam jin ka
bana jin ka na saaya, kaise phir KHaaka bane un ka
laqab shahsudduha, badrudduja, noor-ul-huda un ka
tabassum se guma.n guzre shab-e-taareek par din ka
ziya-e-ruKH se deewaaro.n ko raushan aaina kar de.n

chalo, ai sunniyo ! gustaaKH ka qal'aa-qama' kar de.n
nabi ki 'azmta-o-naamoos par sab kuchh fida kar de.n
sahaaba, auliya se apne rishto.n ko khara kar de.n
jaha.n me.n 'aam paiGaam-e-shah-e-ahmad-raza kar de.n
palaT kar peechhe dekhe.n phir se tajdeed-e-wafa kar de.n

mere ahbaab ! aao aaj mil kar ik sada kar de.n
nabi ka jo hamaara wo ye ahd-e-baa-wafa kar de.n
imaam ahmad raza ke maslak-e-haq ki jila kar de.n
nabi se jo ho begaana, use dil se juda kar de.n
pidar, maadar, biraadar, maal-o-jaa.n un par fida kar de.n

bhala aaengi kaise ab balaae.n, Qadri ! tujh par
huzoor-e-qaaid-e-millat ka dast-e-faiz hai tujh par
balaao.n ko bhagaata hu.n hamesha she'r ye pa.Dh kar
mujhe kya fikr ho, aKHtar ! mere yaawar hai.n wo yaawar
balaao.n ko meri jo KHud giraftaar-e-bala kar de.n


Kalam:
Mufti Akhtar Raza Khan

Tazmeen:
Muhammad Rafique Raza Qadri

Naat-Khwaan:
Muhammad Rafique Raza Qadri
Muanawwar Meri Ankhon Ko Mere Shamsudduha Kar Den With Tazmeen | Zaban o Gosh Ko Sare Gunahon Se Safa Kar Den Lyrics in Hindi | Jahan Bani Ata Kar Den With Tazmeen | aankho ankho zabano gunaho de | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

मेरा बादशाह हुसैन है | ऐसा बादशाह हुसैन है / Mera Baadshaah Husain Hai | Aisa Baadshaah Husain Hai

हम हुसैन वाले हैं / Hum Hussain Wale Hain

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की | या हुसैन इब्न-ए-अली / Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki | Ya Hussain Ibne Ali

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan-nisaron Ko Salam

हुसैन आज सर को कटाने चले हैं / Husain Aaj Sar Ko Katane Chale Hain