ADVERTISEMENT

जो मदीने हम भी जाते तो कुछ और बात होती / Jo Madine Hum Bhi Jaate To Kuchh Aur Baat Hoti

जो मदीने हम भी जाते तो कुछ और बात होती
कभी लौट कर न आते तो कुछ और बात होती

मय-ए-'इश्क़-ए-मुस्तफ़ा हम वहीं पी के मस्त रहते
सर-ए-हश्र लड़खड़ाते तो कुछ और बात होती

मेरी ज़ीस्त के 'अनासिर दर-ए-मुस्तफ़ा पे चल के
मेरा साथ छोड़ जाते तो कुछ और बात होती

मेरे आँसुओं पे ना-हक़ न सितारो मुस्कुराओ
ये जो तयबा देख पाते तो कुछ और बात होती

ये सितारों का तबस्सुम है नज़र-नवाज़ लेकिन
जो हुज़ूर मुस्कुराते तो कुछ और बात होती

मुझे ज़हर देने वाले बड़े कम-नज़र हैं, आक़ा !
तेरे नाम पर पिलाते तो कुछ और बात होती

ये हवा के मस्त झोंके जो इरम से आ रहे हैं
यही तयबा हो के आते तो कुछ और बात होती

ये फ़रोग़-ए-'इल्म-ओ-दानिश, ये मता-ए-रंग-ए-'आलम
यहाँ मुस्तफ़ा न आते तो कुछ और बात होती

ये जो ना'त-ए-पाक, बेकल ! सर-ए-बज़्म पढ़ रहे हो
कहीं तयबा में सुनाते तो कुछ और बात होती


शायर:
बेकल उत्साही

ना'त-ख़्वाँ:
प्रोफ़ेसर अब्दुर्रउफ़ रूफ़ी
साबिर रज़ा अज़हरी सुरत





jo madine ham bhi jaate to kuchh aur baat hoti
kabhi lauT kar na aate to kuchh aur baat hoti

mai-e-'ishq-e-mustafa ham wahi.n pee ke mast rehte
sar-e-hashr la.Dkha.Daate to kuchh aur baat hoti

meri zeest ke 'anaasir dar-e-mustafa pe chal ke
mera saath chho.D jaate to kuchh aur baat hoti

mere aansuo.n pe naa-haq na sitaaro muskuraao
ye jo tayba dekh paate to kuchh aur baat hoti

ye sitaaro.n ka tabassum hai nazar-nawaaz lekin
jo huzoor muskuraate to kuchh aur baat hoti

mujhe zahr dene waale ba.De kam-nazar hai.n, aaqa !
tere naam par pilaate to kuchh aur baat hoti

ye hawa ke mast jhonke jo iram se aa rahe hai.n
yahi tayba ho ke aate to kuchh aur baat hoti

ye faroG-e-'ilm-o-daanish, ye mata-e-rang-e-'aalam
yaha.n mustafa na aate to kuchh aur baat hoti

ye jo naa't-e-paak, Bekal ! sar-e-bazm pa.Dh rahe ho
kahi.n tayba me.n sunaate to kuchh aur baat hoti


Poet:
Bekal Utsahi

Naat-Khwaan:
Prof. Abdul Rauf Rufi
Sabir Raza Azhari Surat

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain