आया है बुलावा फिर इक बार मदीने का / Aaya Hai Bulawa Phir Ik Baar Madine Ka

आया है बुलावा फिर इक बार मदीने का
फिर जा के मैं देखूँगा दरबार मदीने का

गुलशन से हसीं-तर है कोहसार मदीने का
बे-मिस्ल जहाँ में है गुलज़ार मदीने का

मैं फूल को चूमूँगा और धूल को चूमूँगा
जिस वक़्त करूँगा मैं दीदार मदीने का

आँखों से लगा लूँगा और दिल में बसा लूँगा
सीने में उतारूँगा मैं ख़ार मदीने का

सीने में मदीना हो और दिल में मदीना हो
आँखों में भी हो नक़्शा, सरकार ! मदीने का

लाती है सर-ए-बालीं रहमत की अदा उन को
जिस वक़्त तड़पता है बीमार मदीने का

रोते हैं जो दीवाने, बेताब हैं मस्ताने
उन सब को दिखा दीजे दरबार मदीने का

रोता है जो रातों को उम्मत की मोहब्बत में
वो शाफ़े'-ए-महशर है सरदार मदीने का

रातों को जो रोता है और ख़ाक पे सोता है
ग़म-ख़्वार है, सादा है मुख़्तार मदीने का

क़ब्ज़े में दो 'आलम हैं, पर हाथ का तकिया है
सोता है चटाई पर सरदार मदीने का

दुख-दर्द जहाँ भर के, सब दूर, शहा ! कर के
मुझ को तो बना लीजे बीमार मदीने का

इस दर के भिकारी की झोली में दो 'आलम हैं
शाहों से भी बढ़ कर है नादार मदीने का

मक़बूल जहाँ भर में हो दा'वत-ए-इस्लामी
सदक़ा तुझे, ऐ रब्ब-ए-ग़फ़्फ़ार ! मदीने का

तक़दीर चमक उट्ठे, क़िस्मत ही तो खुल जाए
बन जाए जो अदना सग 'अत्तार मदीने का


शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी

ना'त-ख़्वाँ:
असद रज़ा अत्तारी
वक़ार अत्तारी





aaya hai bulaawa phir ik baar madine ka
phir jaa ke mai.n dekhunga darbaar madine ka

gulshan se hasee.n-tar hai kohsaar madine ka
be-misl jahaa.n me.n hai gulzaar madine ka

mai.n phool ko chumunga aur dhool ko chumunga
jis waqt karunga mai.n deedaar madine ka

aankho.n se laga lunga aur dil me.n basa lunga
seene me.n utaarunga mai.n KHaar madine ka

seene me.n madina ho aur dil me.n madina ho
aankho.n me.n bhi ho naqsha, sarkaar ! madine ka

laati hai sar-e-baali.n rahmat ki ada un ko
jis waqt ta.Dapta hai beemaar madine ka

rote hai.n jo deewane, betaab hai.n mastaane
un sab ko dikha deeje darbaar madine ka

rota hai jo raato.n ko ummat ki mohabbat me.n
wo shafe'-e-mahshar hai sardaar madine ka

raato.n ko jo rota hai aur KHaak pe sota hai
Gam-KHwaar hai, saada hai muKHtaar madine ka

qabze me.n do 'aalam hai.n, par haath ka takiya hai
sota hai chaTaai par sardaar madine ka

dukh-dard jahaa.n bhar ke, sab door, shaha ! kar ke
mujh ko to bana leeje beemaar madine ka

is dar ke bhikaari ki jholi me.n do 'aalam hai.n
shaaho.n se bhi ba.Dh kar hai naadaar madine ka

maqbool jahaa.n bhar me.n ho da'wat-e-islami
sadqa tujhe, ai rabb-e-Gaffaar ! madine ka

taqdeer chamak uTThe, qismat hi to khul jaae
ban jaae jo adna sag 'Attar madine ka


Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri

Naat-Khwaan:
Asad Raza Attari
Waqar Attari
Aaya Hai Bulawa Phir Ek Baar Madine Ka Lyrics | Aaya Hai Bulawa Phir Ek Baar Madine Ka Lyrics in Hindi | Aaya Hai Bulawa Phir Ik Baar Madine Ka Lyrics | Aya hei hain hein fir bar madina | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2024

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

मेरा बादशाह हुसैन है | ऐसा बादशाह हुसैन है / Mera Baadshaah Husain Hai | Aisa Baadshaah Husain Hai

हम हुसैन वाले हैं / Hum Hussain Wale Hain

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की | या हुसैन इब्न-ए-अली / Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki | Ya Hussain Ibne Ali

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan-nisaron Ko Salam

हुसैन आज सर को कटाने चले हैं / Husain Aaj Sar Ko Katane Chale Hain