जहाँ रौज़ा-ए-पाक-ए-ख़ैर-उल-वरा है वो जन्नत नहीं है तो फिर और क्या है / Jahan Rauza-e-Pak-e-Khair-ul-wara Hai Wo Jannat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai

जहाँ रौज़ा-ए-पाक-ए-ख़ैर-उल-वरा है वो जन्नत नहीं है तो फिर और क्या है
कहाँ मैं कहाँ ये मदीने की गलियाँ, ये क़िस्मत नहीं है तो फिर और क्या है

मुहम्मद की 'अज़मत को क्या पूछते हो कि वो साहिब-ए-क़ाब-क़ौसैन ठहरे
बशर की सर-ए-'अर्श मेहमाँ-नवाज़ी ये 'अज़मत नहीं है तो फिर और क्या है

जो 'आसी को दामन में अपने छुपा ले, जो दुश्मन को भी ज़ख़्म खा कर दु'आ दे
उसे और क्या नाम देगा ज़माना, वो रहमत नहीं है तो फिर और क्या है

शफ़ा'अत क़यामत की ताबे' नहीं है, ये चश्मा तो रोज़-ए-अज़ल से है जारी
ख़ता-कार बंदों पे लुत्फ़-ए-मुसलसल शफ़ा'अत नहीं है तो फिर और क्या है

क़यामत का इक दिन मुअ'य्यन है लेकिन हमारे लिए हर-नफ़स है क़यामत
मदीने से हम जाँ-निसारों की दूरी क़यामत नहीं है तो फिर और क्या है

तुम, इक़बाल ! ये ना'त कह तो रहे हो मगर ये भी सोचा कि क्या कर रहे हो
कहाँ तुम कहाँ मद्ह-ए-ममदूह-ए-यज़्दाँ, ये जुरअत नहीं है तो फिर और क्या है


शायर:
इक़बाल अज़ीम

ना'त-ख़्वाँ:
क़ारी वहीद ज़फ़र क़ासमी
ज़ुल्फ़िक़ार अली हुसैनी





jahaa.n rauza-e-paak-e-KHair-ul-wara hai
wo jannat nahi.n hai to phir aur kya hai
kahaa.n mai.n kahaa.n ye madine ki galiyaa.n
ye qismat nahi.n hai to phir aur kya hai

muhammad ki 'azmat ko kya poochhte ho
ki wo saahib-e-qaab-qausain Thehre
bashar ki sar-e-'arsh mehmaa.n-nawaazi
ye 'azmat nahi.n hai to phir aur kya hai

jo 'aasi ko daaman me.n apne chhupa le
jo dushman ko bhi zaKHm khaa kar du'aa de
use aur kya naam dega zamaana
wo rehmat nahi.n hai to phir aur kya hai

shafaa'at qayaamat ki taabe' nahi.n hai
ye chashma to roz-e-azal se hai jaari
KHata-kaar bando.n pe lutf-e-musalsal
shafaa'at nahi.n hai to phir aur kya hai

qayaamat ka ik din mua'yyan hai lekin
hamaare liye har-nafas hai qayaamat
madine se ham jaa.n-nisaaro.n ki doori
qayaamat nahi.n hai to phir aur kya hai

tum, Iqbal ! ye naa't keh to rahe ho
magar ye bhi socha ki kya kar rahe ho
kahaa.n tum kahaa.n mad.h-e-mamdooh-e-yazdaa.n
ye jur.at nahi.n hai to phir aur kya hai


Poet:
Iqbal Azeem

Naat-Khwaan:
Qari Waheed Zafar Qasmi
Zulfiqar Ali Hussaini
Jahan Roza e Pak e Khair ul wara Hai Lyrics in Hindi | Wo Jannat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai Lyrics | Kahan Main Kahan Ye Madine Ki Galiyan Lyrics in English | jaha rauza rouza paak paake pake khairulwara khairul hei hain hein |hei fir or | kaha mein me mai galiya | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2024

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

मेरे ताजुश्शरीआ की क्या शान है / Mere Tajushsharia Ki Kya Shaan Hai