ADVERTISEMENT

आई फिर याद मदीने की रुलाने के लिए / Aai Phir Yaad Madine Ki Rulane Ke Liye

आई फिर याद मदीने की रुलाने के लिए
दिल तड़प उट्ठा है दरबार में जाने के लिए

काश ! मैं उड़ता फिरूँ ख़ाक-ए-मदीना बन कर
और मचलता रहूँ सरकार को पाने के लिए

ग़म नहीं छोड़ दे ये सारा ज़माना भी मुझे
मेरे आक़ा तो हैं सीने से लगाने के लिए

मेरे लजपाल ने रुस्वा न कभी होने दिया
जब पुकारा उन्हें आए हैं बचाने के लिए

ये तो बस उन का करम है कि वो सुन लेते हैं
वर्ना ये लब कहाँ फ़रियाद सुनाने के लिए

बख़्श दी ना'त की दौलत जो हमें आक़ा ने
कितना प्यारा है वसीला उन्हें पाने के लिए

फिर मुयस्सर तुझे दीदार-ए-मदीना होगा
वो बुलाएँगे तुझे जल्वा दिखाने के लिए

मुझ गुनहगार-ओ-ख़ताकार को महशर में, 'अदील !
होंगे मौजूद वो दामन में छुपाने के लिए


शायर:
अदील सुल्तानी

ना'त-ख़्वाँ:
सय्यिद फ़सीहुद्दीन सोहरवर्दी
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाजी मुहम्मद मुश्ताक़ अत्तारी





aai phir yaad madine ki rulaane ke liye
dil ta.Dap uTTha hai darbaar me.n jaane ke liye

kaash ! mai.n u.Dta phiru.n KHaak-e-madina ban kar
aur machalta rahu.n sarkaar ko paane ke liye

Gam nahi.n chho.D de ye saara zamaana bhi mujhe
mere aaqa to hai.n seene se lagaane ke liye

mere lajpaal ne ruswa na kabhi hone diya
jab pukaara unhe.n aae hai.n bachaane ke liye

ye to bas un ka karam hai ki wo sun lete hai.n
warna ye lab kahaa.n fariyaad sunaane ke liye

baKHsh di naa't ki daulat jo hame.n aaqa ne
kitna pyaara hai waseela unhe.n paane ke liye

phir muyassar tujhe deedaar-e-madina hoga
wo bulaaenge tujhe jalwa dikhaane ke liye

mujh gunahgaar-o-KHatakaar ko mahshar me.n, 'Adeel !
honge maujood wo daaman me.n chhupaane ke liye


Poet:
Adeel Sultani

Naat-Khwaan:
Syed Fasihuddin Soharwardi
Owais Raza Qadri
Haji Muhammad Mushtaq Attari

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai