रात रौशन सुब्ह का मंज़र सुहाना कर दिया / Raat Raushan Subha Ka Manzar Suhana Kar Diya

रात रौशन सुब्ह का मंज़र सुहाना कर दिया
नूर वाले ने ज़माना नूर वाला कर दिया

या नबी ! हम आप की सूरत बयाँ कैसे करें
आप के तल्वों ने जब सूरज को धुँधला कर दिया

आप के हाथों को छू कर ख़ाक सोना बन गई
आप के क़दमों ने यसरिब को मदीना कर दिया

ये भी है तारीख़ क़ुरआँ की तिलावत के तुफ़ैल
इक बहन ने भाई के ग़ुस्से को ठंडा कर दिया

सूरा-ए-तब्बत-यदा की ज़द में जब आया लहब
अपनी क़ुदरत से ख़ुदा ने उस को लूला कर दिया

बेवा औरत हो या बेटी या कि हो बच्चे यतीम
रहमत-ए-'आलम ने सब का बोझ हल्का कर दिया

वाक़ि'आ-ए-कर्बला सुन कर हमें ऐसा लगा
जैसे तुम ने मेरे दिल का ज़ख़्म ताज़ा कर दिया

कर्बला की जंग में हँस हँस के सब के सामने
हुरमला का एक बच्चे ने सफ़ाया कर दिया

प्यास पानी से बुझाते हैं सभी इंसाँ मगर
हज़रत-ए-'अब्बास ने पानी को प्यासा कर दिया

हज़रत-ए-'अब्बास ने दरिया से नज़रें फेर कर
ख़ून महँगा कर दिया, पानी को सस्ता कर दिया

कर्बला में बोलता था जो बहुत हक़ के ख़िलाफ़
उस की पूरी नस्ल को ज़ैनब ने गूँगा कर दिया


ना'त-ख़्वाँ:
ज़ैन-उल-आबिदीन कानपुरी





raat raushan sub.h ka manzar suhaana kar diya
noor waale ne zamaana noor waala kar diya

ya nabi ! ham aap ki soorat bayaa.n kaise kare.n
aap ke talwo.n ne jab sooraj ko dhundhla kar diya

aap ke haatho.n ko chhoo kar KHaak sona ban gai
aap ke qadmo.n ne yasrib ko madina kar diya

ye bhi hai taareeKH qur.aa.n ki tilaawat ke tufail
ik bahan ne bhaai ke Gusse ko ThanDa kar diya

soora-e-tabbat-yada ki zad me.n jab aaya lahab
apni qudrat se KHuda ne us ko loola kar diya

bewa aurat ho ya beTi ya ki ho bachche yateem
rahmat-e-'aalam ne sab ka bojh halka kar diya

waaqi'aa-e-karbala sun kar hame.n aisa laga
jaise tum ne mere dil ka zaKHm taaza kar diya

karbala ki jang me.n hans hans ke sab ke saamne
hurmala ka ek bachche ne safaaya kar diya

pyaas paani se bujhaate hai.n sabhi insaa.n magar
hazrat-e-'abbaas ne paani ko pyaasa kar diya

hazrat-e-'abbaas ne dariya se nazre.n pher kar
KHoon mehnga kar diya, paani ko sasta kar diya

karbala me.n bolta tha jo bahut haq ke KHilaaf
us ki poori nasl ko zainab ne goonga kar diya


Naat-Khwaan:
Zainul Abedin Kanpuri
Raat Roshan Subha Ka Manzar Suhana Kar Diya Lyrics in Hindi | Noor Wale Ne Zamana Noor Wala Kar Diya Lyrics in Hindi | Zainul Abedin Kanpuri Naat Lyrics | Raat Roshan Subah rat lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2024

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की | या हुसैन इब्न-ए-अली / Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki | Ya Hussain Ibne Ali

मेरा बादशाह हुसैन है | ऐसा बादशाह हुसैन है / Mera Baadshaah Husain Hai | Aisa Baadshaah Husain Hai

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan-nisaron Ko Salam

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

हम हुसैन वाले हैं / Hum Hussain Wale Hain

हुसैन तुम को ज़माना सलाम कहता है / Hussain Tum Ko Zamana Salam Kehta Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

हर ज़माना मेरे हुसैन का है / Har Zamana Mere Hussain Ka Hai

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai