ADVERTISEMENT

दिल उल्फ़त-ए-सरकार बसाने के लिए है / Dil Ulfat-e-Sarkar Basane Ke Liye Hai

दिल उल्फ़त-ए-सरकार बसाने के लिए है
जाँ आप की हुर्मत पे लुटाने के लिए है

दिल कहने लगा करते ही रौज़े का नज़ारा
ये नक़्श तो आँखों में सजाने के लिए है

कितनी बड़ी ने'मत है ये आक़ा का वसीला
बंदों को जो मौला से मिलाने के लिए है

आती है जो आँखों में नमी ना'त से पहले
ये मदह के आदाब सिखाने के लिए है

पैग़ाम सुनाती है यही आया-ए-ततहीर
'इज़्ज़त मेरे आक़ा के घराने के लिए है

हम उम्मती उन के हैं तो कैसे रहें महरूम
जब उन का करम सारे ज़माने के लिए है

सरवर ! जो बुलावा नहीं आया कई दिन से
ये तेरी तलब और बढ़ाने के लिए है


शायर:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी

ना'त-ख़्वाँ:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी





dil ulfat-e-sarkaar basaane ke liye hai
jaa.n aap ki hurmat pe luTaane ke liye hai

dil kehne laga karte hi rauze ka nazaara
ye naqsh to aankho.n me.n sajaane ke liye hai

kitni ba.Di ne'mat hai ye aaqa ka waseela
bando.n ko jo maula se milaane ke liye hai

aati hai jo aankho.n me.n nami naa't se pehle
ye mad.h ke aadaab sikhaane ke liye hai

paiGaam sunaati hai yahi aaya-e-tat.heer
'izzat mere aaqa ke gharaane ke liye hai

ham ummati un ke hai.n to kaise rahe.n mahroom
jab un ka karam saare zamaane ke liye hai

Sarwar ! jo bulaawa nahi.n aaya kai din se
ye teri talab aur ba.Dhaane ke liye hai


Poet:
Sarwar Hussain Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Sarwar Hussain Naqshbandi

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer