हैदर सा ज़माने में सरदार नहीं कोई / Haider Sa Zamane Mein Sardar Nahin Koi

मौला हैदर ! मौला हैदर !
मौला हैदर ! मौला हैदर !

घर घर में ना'रा है, मौला मौला हैदर, मौला मौला हैदर

घर घर में ना'रा है या 'अली
मोमिन को प्यारा है या 'अली

सरताज है ज़हरा का, हसनैन का बाबा है
हैदर सा शह-ए-दीं का हुब-दार नहीं कोई

हैदर सा ज़माने में सरदार नहीं कोई
उस शेर-ए-जली जैसा सालार नहीं कोई

हैदर सा ज़माने में सरदार नहीं कोई

वो जिस की शुजा'अत पे नाज़ाँ हैं शह-ए-'आलम
उस मर्द-ए-क़लंदर सा जर्रार नहीं कोई

हैदर सा ज़माने में सरदार नहीं कोई

ख़ैबर को जो लर्ज़ा दे, आ'दा को जो तड़पा दे
हम ने तो सुनी ऐसी ललकार नहीं कोई

हैदर सा ज़माने में सरदार नहीं कोई

वो फ़ख़्र-ए-सहाबा है, वो नय्यर-ए-ताबाँ है
दुनिया में 'अली जैसा दिलदार नहीं कोई

हैदर सा ज़माने में सरदार नहीं कोई

हैदर से 'अदावत जो रखता है सुनो लोगो
कौनैन में उस जैसा बीमार नहीं कोई

हैदर सा ज़माने में सरदार नहीं कोई

चौखट से तेरी उठ कर मैं जाऊँ कहाँ, हैदर !
इक तेरे सिवा मेरा ग़म-ख़्वार नहीं कोई

मैं शौक़-ए-फ़रीदी हूँ, शैदा-ए-'अली हैदर
क़िस्मत का सिकंदर हूँ, नादार नहीं कोई

हैदर सा ज़माने में सरदार नहीं कोई


शायर:
हाफ़िज़ शौक़ फ़रीदी

ना'त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी





maula haidar ! maula haidar !
maula haidar ! maula haidar !

ghar ghar me.n naa'ra hai
maula maula haidar, maula maula haidar

sartaaj hai zahra ka, hasnain ka baaba hai
haidar saa shah-e-dee.n ka hub-daar nahi.n koi

haidar saa zamaane me.n sardaar nahi.n koi
us sher-e-jali jaisa saalaar nahi.n koi

haidar saa zamaane me.n sardaar nahi.n koi

wo jis ki shujaa'at pe naazaa.n hai.n shah-e-'aalam
us mard-e-qalandar saa jarraar nahi.n koi

haidar saa zamaane me.n sardaar nahi.n koi

KHaibar ko jo larza de, aa'da ko jo ta.Dpa de
ham ne to suni aisi lalkaar nahi.n koi

haidar saa zamaane me.n sardaar nahi.n koi

wo faKHr-e-sahaaba hai, wo nayyar-e-taabaa.n hai
duniya me.n 'ali jaisa dildaar nahi.n koi

haidar saa zamaane me.n sardaar nahi.n koi

haidar se 'adaawat jo rakhta hai suno logo
kaunain me.n us jaisa beemaar nahi.n koi

haidar saa zamaane me.n sardaar nahi.n koi

chaukhaT se teri uTh kar mai.n jaau.n kahaa.n, haidar !
ik tere siwa mera Gam-KHwaar nahi.n koi

mai.n Shauq-e-Fareedi hu.n, shaida-e-'ali haidar
qismat ka sikandar hu.n, naadaar nahi.n koi

haidar saa zamaane me.n sardaar nahi.n koi


Poet:
Hafiz Shauq Fareedi

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Haider Sa Zamane Mein Sardar Nahi Koi Lyrics | Haider Sa Zamane Mein Sardar Nahi Koi Lyrics in Hindi | Haidar Sa Zamane Me Sardar Nahi Koi Lyrics in Hindi | heidar heider | Manqabat Maula Ali lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मेरे ताजुश्शरीआ की क्या शान है / Mere Tajushsharia Ki Kya Shaan Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)