ADVERTISEMENT

झुकी हुई है जबीन-ए-दिल भी लबों पे आक़ा का नाम आया / Jhuki Hui Hai Jabeen-e-Dil Bhi Labon Pe Aaqa Ka Naam Aaya

झुकी हुई है जबीन-ए-दिल भी लबों पे आक़ा का नाम आया
क़लम भी लगता है सर-ब-सज्दा अदब का ऐसा मक़ाम आया

हुज़ूर-ए-वाला की ज़ात पर जब सलाम भेजा तो फिर न पूछो
ख़ुदा की जानिब से मेरी जानिब ख़ुदा के घर से सलाम आया

हुआ ये महसूस जाम-ए-कौसर छलक रहा है मेरी नज़र में
जो मेरे आक़ा के ज़िक्र-ए-अनवर का मेरे होंटों पे जाम आया

वहीं वहीं पर परों को अपने बिछा दिया है मलाइका ने
जहाँ जहाँ भी रसूल-ए-अरबी ख़ुदा का देने पयाम आया

मे'राज की शब रसूलों नबियों ने देखा जब तो पुकार उट्ठे
उठो और उठ कर सफ़ें बनाओ है आज हमारा इमाम आया

नबी के दीं पे लुटा के सब कुछ हुसैन इब्न-ए-'अली थे बोले
हमीं वो हैं जिन के हिस्से में बस शहादतों का है जाम आया

आ'माल तो न थे मेरे अच्छे ब-रोज़-ए-महशर हुई है बख़्शिश
क़बर हशर में है सय्यिदा का अदब ही बस मेरे काम आया

शहाब ! दिल की ये आरज़ू है रसूल-ए-अकरम के दर पे जा के
सदा लगाऊँ नवाज़ दीजे, हुज़ूर ! दर पर ग़ुलाम आया


शायर:
मुहम्मद शहाबुद्दीन सैफ़ी

ना'त-ख़्वाँ:
उमेर मुनीर क़ादरी





jhuki hui hai jabeen-e-dil bhi labo.n pe aaqa ka naam aaya
qalam bhi lagta hai sar-ba-sajda adab ka aisa maqaam aaya

huzoor-e-waala ki zaat par jab salaam bheja to phir na poochho
KHuda ki jaanib se meri jaanib KHuda ke ghar se salaam aaya

huaa ye mehsoos jaam-e-kausar chhalak raha hai meri nazar me.n
jo mere aaqa ke zikr-e-anwar ka mere honTo.n pe jaam aaya

wahi.n wahi.n par paro.n ko apne bichha diya hai malaaika ne
jahaa.n jahaa.n bhi rasool-e-arabi KHuda ka dene payaam aaya

me'raaj ki shab rasoolo.n nabiyo.n ne dekha jab to pukaar uTThe
uTho aur uTh kar safe.n banaao hai aaj hamaara imaam aaya

nabi ke dee.n pe luTa ke sab kuchh husain ibn-e-'ali the bole
hami.n wo hai.n jin ke hisse me.n bas shahaadato.n ka hai jaam aaya

aa'maal to na the mere achchhe ba-roz-e-mehshar hui hai baKHshish
qabar hashar me.n hai sayyida ka adab hi bas mere kaam aaya

Shahaab ! dil ki ye aarzoo hai rasool-e-akram ke dar pe ja ke
sada lagaau.n nawaaz deeje, huzoor ! dar par Gulaam aaya


Poet:
Mohammad Shahab Ul Deen Saifi

Naat-Khwaan:
Umer Munir Qadri

Comments

Most Popular

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

चारों तरफ़ नूर छाया | आक़ा का मीलाद आया / Chaaron Taraf Noor Chhaya | Aaqa Ka Milad Aaya

फ़लक के नज़ारो ज़मीं की बहारो | हुज़ूर आ गए हैं / Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo | Huzoor Aa Gaye Hain

मरहबा या मुस्तफ़ा | नसीब चमके हैं फ़र्शियों के कि अर्श के चाँद आ रहे हैं / Marhaba Ya Mustafa | Naseeb Chamke Hain Farshiyon Ke, Ki Arsh Ke Chaand Aa Rahe Hain

नूर वाला आया है नूर ले कर आया है / Noor Wala Aaya Hai Noor Le Kar Aaya Hai

गली गली सज गई शहर शहर सज गया | जो आमिना के लाल का मीलाद करेंगे / Gali Gali Saj Gai Shahar Shahar Saj Gaya | Jo Amina Ke Laal Ka Milad Karenge (Part 1 | Part 2)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)