अपने ही नहीं जो नबियों के सरदार की बातें करते हैं / Apne Hi Nahin Jo Nabiyon Ke Sardar Ki Baatein Karte Hain

अपने ही नहीं जो नबियों के सरदार की बातें करते हैं
दुश्मन भी मेरे आक़ा के किरदार की बातें करते हैं

वो होंगे और जो जन्नत के गुलज़ार की बातें करते हैं
हम हैं आक़ा के दीवाने, सरकार की बातें करते हैं

दुश्मन भी मेरे आक़ा के किरदार की बातें करते हैं

ये शौक़ मुझे मजबूर करे, मैं उन के नाम पे बिक जाऊँ
जब लोग कहीं भी तयबा के बाज़ार की बातें करते हैं

दुश्मन भी मेरे आक़ा के किरदार की बातें करते हैं

हर सिम्त जमाल है आक़ा का, जा कर तो देखो मदीने में
तयबा के दर-ओ-दीवार सभी सरकार की बातें करते हैं

दुश्मन भी मेरे आक़ा के किरदार की बातें करते हैं

इक रोज़ होगा जाना सरकार की गली में
होगा वहीं ठिकाना सरकार की गली में

दिल में नबी की यादें, लब पर नबी की ना'तें
जाना तो ऐसे जाना सरकार की गली में

इक रोज़ होगा जाना सरकार की गली में
इक रोज़ होगा जाना सरकार की गली में

रौज़े को देखने को आँखें ही मुज़्तरिब थीं
दिल भी हुआ रवाना सरकार की गली में

इक रोज़ होगा जाना सरकार की गली में
इक रोज़ होगा जाना सरकार की गली में


आँखों के सामने आ जाएँ सब जल्वे गुंबद-ए-ख़ज़रा के
जब लोग उन के प्यारे प्यारे दरबार की बातें करते हैं

दुश्मन भी मेरे आक़ा के किरदार की बातें करते हैं

वश्शम्स कहीं, वल्लैल कहीं, वल-फ़ज्र कहीं पे फ़रमा कर
क़ुरआन में रब्ब-ए-त'आला भी ख़ुद यार की बातें करते हैं

दुश्मन भी मेरे आक़ा के किरदार की बातें करते हैं


ना'त-ख़्वाँ:
अब्दुल बासित हस्सानी





apne hi nahi.n jo nabiyo.n ke sardaar ki baate.n karte hai.n
dushman bhi mere aaqa ke kirdaar ki baate.n karte hai.n

wo honge aur jo jannat ke gulzaar ki baate.n karte hai.n
ham hai.n aaqa ke deewane, sarkaar ki baate.n karte hai.n

dushman bhi mere aaqa ke kirdaar ki baate.n karte hai.n

ye shauq mujhe majboor kare, mai.n un ke naam pe bik jaau.n
jab log kahi.n bhi tayba ke bazaar ki baate.n karte hai.n

dushman bhi mere aaqa ke kirdaar ki baate.n karte hai.n

har simt jamaal hai aaqa ka, jaa kar to dekho madine me.n
tayba ke dar-o-deewaar sabhi sarkaar ki baate.n karte hai.n

dushman bhi mere aaqa ke kirdaar ki baate.n karte hai.n

ik roz hoga jaana sarkaar ki gali me.n
hoga wahi.n Thikaana sarkaar ki gali me.n

dil me.n nabi ki yaade.n, lab par nabi ki naa'te.n
jaana to aise jaana sarkaar ki gali me.n

ik roz hoga jaana sarkaar ki gali me.n
ik roz hoga jaana sarkaar ki gali me.n

rauze ko dekhne ko aankhe.n hi muztarib thi.n
dil bhi huaa rawaana sarkaar ki gali me.n

ik roz hoga jaana sarkaar ki gali me.n
ik roz hoga jaana sarkaar ki gali me.n

aankho.n ke saamne aa jaae.n sab jalwe gumbad-e-KHazra ke
jab log un ke pyaare pyaare darbaar ki baate.n karte hai.n

dushman bhi mere aaqa ke kirdaar ki baate.n karte hai.n

washshams kahi.n, wallail kahi.n, wal-fajr kahi.n pe farma kar
qur.aan me.n rabb-e-ta'aala bhi KHud yaar ki baate.n karte hai.n

dushman bhi mere aaqa ke kirdaar ki baate.n karte hai.n


Naat-Khwaan:
Abdul Basit Hassani
Apne Hi Nahi Jo Nabiyon Ke Lyrics | Dushman Bhi Mere Aaqa Ke Kirdar Lyrics in Hindi | Dushman Bhi Mere Aaqa Ke Kirdar Ki Baatein Karte Hain Lyrics | nabiyo batein baate baaten baten aqa lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

सरवरा शाहा करीमा दस्तगीरा अशरफ़ा | अशरफ़ी तराना / Sarwara Shaha Karima Dastagira Ashrafa | Ashrafi Tarana