रौनक़-ए-अर्ज़-ओ-समा कुछ और है / Raunaq-e-Arz-o-Sama Kuchh Aur Hai

रौनक़-ए-अर्ज़-ओ-समा कुछ और है
शहर-ए-तयबा की हवा कुछ और है

चाँद को वो जोड़ते हैं तोड़ कर
मो'जिज़े पे मो'जिज़ा कुछ और है

लन-तरानी से नफ़ी ज़ाहिर हुई
उदनु-मिन्नी की सदा कुछ और है

सैकड़ों जंगें हुईं इस्लाम में
कर्बला का वाक़ि'आ कुछ और है

फेंक के ख़ंजर 'उमर कहने लगे
अब हमारा फ़ैसला कुछ और है

बाप के एहसान पर कुछ शक नहीं
हाँ मगर माँ की दु'आ कुछ और है

तर्जमा कितनों ने क़ुरआँ का किया
जो रज़ा ने है किया कुछ और है

हैं, मुबारक ! सैकड़ों सिन्फ़ें मगर
ना'त-गोई का मज़ा कुछ और है


शायर:
मुबारक हुसैन मुबारक

ना'त-ख़्वाँ:
मुबारक हुसैन मुबारक
ज़िया यज़दानी





raunaq-e-arz-o-sama kuchh aur hai
shehr-e-tayba ki hawa kuchh aur hai

chaand ko wo jo.Dte hai.n to.D kar
mo'jize pe mo'jiza kuchh aur hai

lan-taraani se nafi zaahir hui
udnu-minni ki sada kuchh aur hai

saika.Do.n jange hui.n islaam me.n
karbala ka waaqi'aa kuchh aur hai

phenk ke KHanjar 'umar kehne lage
ab hamaara faisla kuchh aur hai

baap ke ehsaan par kuchh shak nahi.n
haa.n magar maa.n ki du'aa kuchh aur hai

tarjama kitno.n ne qur.aa.n ka kiya
jo raza ne hai kiya kuchh aur hai

hai.n, Mubaarak ! saika.Do.n sinfe.n magar
naa't-goi ka maza kuchh aur hai


Poet:
Mubarak Hussain Mubarak

Naat-Khwaan:
Mubarak Hussain Mubarak
Ziya Yazdani
Raunaq e Arz o Sama Kuch Aur Hai Lyrics | Ronaq e Arz o Sama Kuch Aur Hai Lyrics in Hindi | Shehr e Taiba Ki Hawa Kuch Aur Hai Lyrics in Hindi | raunaqe ronaqe arzo or hein hai hain | shehar shehre shahare | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)