एलान खुल के करती है उम्मत रसूल की / Elaan Khul Ke Karti Hai Ummat Rasool Ki

ए'लान खुल के करती है उम्मत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की

आक़ा से प्यार करना ही मोमिन की शान है
सरशार उन के 'इश्क़ में ये जिस्म-ओ-जान है
सरमाया-ए-हयात है उल्फ़त रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की

ए'लान खुल के करती है उम्मत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की


गुलशन में सारी नग़्मा-सराई है आप से
शम्स-ओ-क़मर की जल्वा-नुमाई है आप से
दुनिया-ए-रंग-ओ-बू में है निकहत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की

ए'लान खुल के करती है उम्मत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की

तफ़रीक़-ए-रंग-ओ-नस्ल मिटाई है आप ने
जन्नत की शाह-राह दिखाई है आप ने
'आलम में 'आम-ओ-ताम है रहमत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की

ए'लान खुल के करती है उम्मत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की

ये ग़ुंचा-ओ-गुलाब, ये बुलबुल ये गुलिस्ताँ
रहमत-लक़ब नबी का ही सदक़ा है ये जहाँ
भँवरे भी गुनगुनाते हैं मिदहत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की

ए'लान खुल के करती है उम्मत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की


तू भी तो, ऐ हफ़ीज़ ! उन्हीं का ग़ुलाम है
विर्द-ए-ज़बाँ हमेशा दुरूद-ओ-सलाम है
बा'द-अज़-ख़ुदा है दिल में भी 'अज़मत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की

ए'लान खुल के करती है उम्मत रसूल की
हर दिल में जा-गुज़ीं है मोहब्बत रसूल की


शायर:
मुफ़्ती हफ़ीज़ुल्लाह क़ासमी

ना'त-ख़्वाँ:
संदली अहमद





e'laan khul ke karti hai ummat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

aaqa se pyaar karna hi momin ki shaan hai
sarshaar un ke 'ishq me.n ye jism-o-jaan hai
sarmaaya-e-hayaat hai ulfat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

e'laan khul ke karti hai ummat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

gulshan me.n saari naGma-saraai hai aap se
shams-o-qamar ki jalwa-numaai hai aap se
duniya-e-rang-o-boo me.n hai nik.hat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

e'laan khul ke karti hai ummat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

tafreeq-e-rang-o-nasl miTaai hai aap ne
jannat ki shaah-raah dikhaai hai aap ne
'aalam me.n 'aam-o-taam hai rahmat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

e'laan khul ke karti hai ummat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

ye Guncha-o-gulaab, ye bulbul ye gulistaa.n
rahmat-laqab nabi ka hi sadqa hai ye jahaa.n
bhanware bhi gungunaate hai.n mid.hat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

e'laan khul ke karti hai ummat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

tu bhi to, ai Hafeez ! unhi.n ka Gulaam hai
wird-e-zabaa.n hamesha durood-o-salaam hai
baa'd-az-KHuda hai dil me.n bhi 'azmat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki

e'laan khul ke karti hai ummat rasool ki
har dil me.n jaa-guzee.n hai mohabbat rasool ki


Poet:
Mufti Hafizullah Qasmi

Naat-Khwaan:
Sandali Ahmad
Elan Khul Ke Karti Hai Ummat Rasool Ki Lyrics in Hindi | Har Dil Mein Jaaguzi Hai Mohabbat Rasool Ki Lyrics in Hindi | Umat Rasul Ki Lyrics | aelan ailan ailaan hei hein hain ja guzi jaguzi muhabbat mahabbat | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara