मँगतों को सुल्तान बनाया मेरे मदनी आक़ा ने / Mangton Ko Sultan Banaya Mere Madani Aaqa Ne

मँगतों को सुल्तान बनाया मेरे मदनी आक़ा ने
जब अपना दरबार सजाया मेरे मदनी आक़ा ने

जिस पर अपना रंग चढ़ाया मेरे मदनी आक़ा ने
दाता फ़रीद और ख़्वाजा बनाया मेरे मदनी आक़ा ने

ख़ुद तो ठहरे ख़त्म-ए-रुसुल और ग़ौस पिया जीलानी को
वलियों का सुल्तान बनाया मेरे मदनी आक़ा ने

माल-ओ-ज़र की बात नहीं है, ये तो करम की बातें हैं
जिस को चाहा दर पे बुलाया मेरे मदनी आक़ा ने

जिस को हक़ारत से दुनिया ने देखा और मुँह फेर लिया
उस को भी सीने से लगाया मेरे मदनी आक़ा ने

उन का तसव्वुर करते करते नींद, 'अलीम ! जब आई मुझे
मुझ को अपना जल्वा दिखाया मेरे मदनी आक़ा ने


शायर:
अलीमुद्दीन अलीम

ना'त-ख़्वाँ:
अल्हाज ख़ुर्शीद अहमद
ओवैस रज़ा क़ादरी
शेरबाज़ क़ादरी





mangto.n ko sultaan banaaya mere madani aaqa ne
jab apna darbaar sajaaya mere madani aaqa ne

jis par apna rang cha.Dhaaya mere madani aaqa ne
daata fareed aur KHwaja banaaya mere madani aaqa ne

KHud to Thehre KHatm-e-rusul aur Gaus piya jeelaani ko
waliyo.n ka sultaan banaaya mere madani aaqa ne

maal-o-zar ki baat nahi.n hai, ye to karam ki baate.n hai.n
jis ko chaaha dar pe bulaaya mere madani aaqa ne

jis ko haqaarat se duniya ne dekha aur munh pher liya
us ko bhi seene se lagaaya mere madani aaqa ne

un ka tasawwur karte karte neend, 'Aleem ! jab aai mujhe
mujh ko apna jalwa dikhaaya mere madani aaqa ne


Poet:
Alimuddin Alim

Naat-Khwaan:
Alhaj KHurshid Ahmad
Owais Raza Qadri
Sherbaz Qadri
Mangton Ko Sultan Banaya Lyrics in English | Mangton Ko Sultan Banaya Mere Kamli Wale Ne Lyrics | Mangton Ko Sultan Banaya Mere Madani Aaqa Ne Lyrics in Hindi | mangto madni aqa | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम | अस्सलाम या हुसैन / Mere Hussain Tujhe Salaam | Assalam Ya Hussain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan Nisaron Ko Salam