सारे आलम की मट्टी में जल्वा-फ़िगन जितने ज़र्रे हैं उतने दुरूद आप पर / Sare Aalam Ki Matti Mein Jalwa-figan Jitne Zarre Hain Utne Durood Aap Par

सारे 'आलम की मट्टी में जल्वा-फ़िगन जितने ज़र्रे हैं उतने दुरूद आप पर
बाग़-ए-कौनैन के सारे अश्जार में जितने पत्ते हैं उतने दुरूद आप पर

चश्म-ए-इंसाँ से अश्कों के टपके हुए जितने क़तरे हैं उतने दुरूद आप पर
आसमाँ के दोशाले में टाँके हुए जितने तारे हैं उतने दुरूद आप पर

सारी तक़रीर-ओ-तहरीर-ए-इंसान में, रब्ब-ए-कौनैन के सारे क़ुरआन में
जिस क़दर हर्फ़ हैं और हर हर्फ़ के जितने नुक़्ते हैं उतने दुरूद आप पर

ज़र्रा-ओ-आफ़ताब-ओ-मह-ओ-कहकशाँ, रंग-ए-रुख़्सार-ए-गुल हुस्न-ए-रू-ए-बुताँ
मेरे कहने का मतलब है तख़्लीक़ के जितने जल्वे हैं उतने दुरूद आप पर

'अलीम ! अब ख़ुदा से ये फ़रियाद है, उस को मा'लूम 'इस्याँ की ता'दाद है
मेरे आ'माल-नामे के सफ़्हात पर जितने धब्बे हैं उतने दुरूद आप पर


शायर:
डॉ. अलीम उस्मानी

नशीद-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ हस्सान अंज़र





saare 'aalam ki maTTi me.n jalwa-figan
jitne zarre hai.n utne durood aap par
baaG-e-kaunain ke saare ashjaar me.n
jitne patte hai.n utne durood aap par

chashm-e-insaa.n se ashko.n ke Tapke hue
jitne qatre hai.n utne durood aap par
aasmaa.n ke doshaale me.n Taanke hue
jitne taare hai.n utne durood aap par

saari taqreer-o-tahreer-e-insaan me.n
rabb-e-kaunain ke saare qur.aan me.n
jis qadar harf hai.n aur har harf ke
jitne nuqte hai.n utne durood aap par

zarra-o-aaftaab-o-mah-o-kehkashaa.n
rang-e-ruKHsaar-e-gul husn-e-roo-e-butaa.n
mere kehne ka matlab hai taKHleeq ke
jitne jalwe hai.n utne durood aap par

ai 'Aleem ! ab KHuda se ye fariyaad hai
us ko maa'loom 'isyaa.n ki taa'daad hai
mere aa'maal-naame ke safhaat par
jitne dhabbe hai.n utne durood aap par


Poet:
Dr. Aleem Usmani

Nasheed-Khwaan:
Hafiz Hassan Anzar
Sare Aalam Ki Matti Mein Jalwa Figan Jitne Zarre Hain Utne Durood Aap Par Lyrics in Hindi | Sare Aalam Ke Durood Aap Par Lyrics | Sare Alam Ki Mitti Mein Jalwa figan Lyrics | me mei mai jalwafigan hai hei hein darood durud ap per | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

ऐ शहंशाह-ए-मदीना अस्सलातु वस्सलाम / Aye Shahenshah-e-Madina Assalatu Wassalam

ताजदार-ए-हरम ऐ शहंशाह-ए-दीं | तुम पे हर दम करोड़ों दुरूद-ओ-सलाम / Tajdar-e-Haram Aye Shahanshah-e-Deen | Tum Pe Har Dam Karodon Durood-o-Salam

आक़ा ले लो सलाम अब हमारा / Aaqa Le Lo Salam Ab Hamara

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

क़ल्ब-ए-आशिक़ है अब पारा पारा | अलविदा अलविदा माह-ए-रमज़ाँ / Qalb-e-Aashiq Hai Ab Para Para | Alvida Alvida Mahe Ramzan

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain