इक मैं ही नहीं उन पर क़ुर्बान ज़माना है / Ik Main Hi Nahin Un Par Qurban Zamana Hai | Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai

इक मैं ही नहीं, उन पर क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्ब-ए-दो-'आलम का महबूब यगाना है

कल पुल से हमें जिस ने ख़ुद पार लगाना है
ज़हरा का वो बाबा है, हसनैन का नाना है

उस हाशमी दूल्हा पर कौनैन को मैं वारूँ
जो हुस्न-ओ-शमाइल में यकता-ए-ज़माना है

'इज़्ज़त से न मर जाएँ क्यूँ नाम-ए-मुहम्मद पर
हम ने किसी दिन यूँ भी दुनिया से तो जाना है

आओ दर-ए-ज़हरा पर फैलाए हुए दामन
है नस्ल करीमों की, लजपाल घराना है

हूँ शाह-ए-मदीना की मैं पुश्त-पनाही में
क्या इस की मुझे पर्वा दुश्मन जो ज़माना है

ये कह के दर-ए-हक़ से ली मौत में कुछ मोहलत
मीलाद की आमद है, महफ़िल को सजाना है

क़ुर्बान उस आक़ा पर कल हश्र के दिन जिस ने
इस उम्मत-ए-'आसी को कमली में छुपाना है

सौ बार अगर तौबा टूटी भी तो हैरत क्या
बख़्शिश की रिवायत में तौबा तो बहाना है

हर वक़्त वो हैं मेरी दुनिया-ए-तसव्वुर में
ऐ शौक़ ! कहीं अब तो आना है न जाना है

पुर-नूर सी राहें हैं, गुंबद पे निगाहें हैं
जल्वे भी अनोखे हैं, मंज़र भी सुहाना है

हम क्यूँ न कहें उन से रूदाद-ए-अलम अपनी
जब उन का कहा ख़ुद भी अल्लाह ने माना है

महरूम-ए-करम इस को रखिए न सर-ए-महशर
जैसा है नसीर आख़िर साइल तो पुराना है


शायर:
पीर नसीरुद्दीन नसीर

ना'त-ख़्वाँ:
क़ारी शाहिद महमूद क़ादरी
ओवैस रज़ा क़ादरी
मीलाद रज़ा क़ादरी
फ़राज़ अत्तारी





ik mai.n hi nahi.n, un par qurban zamaana hai
jo rabb-e-do-'aalam ka mahboob yagaana hai

kal pul se hame.n jis ne KHud paar lagaana hai
zahra ka wo baaba hai, hasnain ka naana hai

us haashmi doolha par kaunain ko mai.n waaru.n
jo husn-o-shamaail me.n yakta-e-zamaana hai

'izzat se na mar jaae.n kyu.n naam-e-muhammad par
ham ne kisi din yu.n bhi duniya se to jaana hai

aao dar-e-zahra par phailaae hue daaman
hai nasl kareemo.n ki, lajpaal gharaana hai

hu.n shaah-e-madina ki mai.n pusht-panaahi me.n
kya is ki mujhe parwa dushman jo zamaana hai

ye keh ke dar-e-haq se li maut me.n kuchh mohlat
meelaad ki aamad hai, mehfil ko sajaana hai

qurbaan us aaqa par kal hashr ke din jis ne
is ummat-e-'aasi ko kamli me.n chhupaana hai

sau baar agar tauba TooTi bhi to hairat kya
baKHshish ki riwaayat me.n tauba to bahaana hai

har waqt wo hai.n meri duniya-e-tasawwur me.n
ai shauq ! kahi.n ab to aana hai na jaana hai

pur-noor si raahe.n hai.n, gumbad pe nigaahe.n hai.n
jalwe bhi anokhe hai.n, manzar bhi suhaana hai

ham kyu.n na kahe.n un se roodaad-e-alam apni
jab un ka kaha KHud bhi allah ne maana hai

mehroom-e-karam is ko rakhiye na sar-e-mehshar
jaisa hai Naseer aaKHir saail to puraana hai


Poet:
Pir Naseeruddin Naseer

Naat-Khwaan:
Qari Shahid Mehmood Qadri
Owais Raza Qadri
Milad Raza Qadri
Faraz Attari
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics in Hindi | Ik Main Hi Nahi Un Par Naat Lyrics Hindi | Aao Dar e Zahra Par Lyrics in Hindi | Pir Naseer Naat Lyrics | mein mai mei unpar hei hain hein | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Post a Comment

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मेरे ताजुश्शरीआ की क्या शान है / Mere Tajushsharia Ki Kya Shaan Hai

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana