ADVERTISEMENT

ज़र्रे झड़ कर तेरी पैज़ारों के / Zarre Jhad Kar Teri Paizaron Ke

ज़र्रे झड़ कर तेरी पैज़ारों के
ताज-ए-सर बनते हैं सय्यारों के

हम से चोरों पे जो फ़रमाएँ करम
ख़िल'अत-ए-ज़र बनें पुश्तारों के

मेरे आक़ा का वो दर है जिस पर
माथे घिस जाते हैं सरदारों के

मेरे 'ईसा ! तेरे सदक़े जाऊँ
तौर बे-तौर हैं बीमारों के

मुजरिमो ! चश्म-ए-तबस्सुम रक्खो
फूल बन जाते हैं अंगारों के

तेरे अब्रू के तसद्दुक़ प्यारे
बंद कर्रे हैं गिरिफ़्तारों के

जान-ओ-दिल तेरे क़दम पर वारे
क्या नसीबे हैं तेरे यारों के

सिद्‌क़-ओ-'अदल-ओ-करम-ओ-हिम्मत में
चार-सू शोहरे हैं इन चारों के

बहर-ए-तस्लीम-ए-'अली मैदाँ में
सर झुके रहते हैं तलवारों के

कैसे आक़ाओं का बंदा हूँ, रज़ा !
बोल-बाले मेरी सरकारों के


शायर:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी





zarre jhad kar teri paizaaro.n ke
taaj-e-sar bante hai.n sayyaaro.n ke

ham se choro.n pe jo farmaae.n karam
KHil'at-e-zar bane.n pushtaaro.n ke

mere aaqa ka wo dar hai jis par
maathe ghis jaate hai.n sardaaro.n ke

mere 'isa ! tere sadqe jaau.n
taur be-taur hai.n beemaaro.n ke

mujrimo ! chashm-e-tabassum rakkho
phool ban jaate hai.n angaaro.n ke

tere abroo ke tasadduq pyaare
band karre hai.n giriftaaro.n ke

jaan-o-dil tere qadam par waare
kya naseebe hai.n tere yaaro.n ke

sidq-o-'adal-o-karam-o-himmat me.n
chaar-soo shohre hai.n in chaaro.n ke

behr-e-tasleem-e-'ali maidaa.n me.n
sar jhuke rehte hai.n talwaaro.n ke

kaise aaqaao.n ka banda hu.n, Raza !
bol-baale meri sarkaaro.n ke


Poet:
Imam Ahmad Raza Khan

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Ghulam Mustafa Qadri
Asad Raza Attari

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

शैअन-लिल्लाह या अब्दुल क़ादिर | इधर भी निगाह-ए-करम ग़ौस-ए-आज़म / Shayian Lillah Ya Abdul Qadir | Idhar Bhi Nigah-e-Karam Ghous-e-Azam

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe