अर्श-ए-हक़ है मसनद-ए-रिफ़अत रसूलुल्लाह की / Arsh-e-Haq Hai Masnad-e-Rifat Rasoolullah Ki

'अर्श-ए-हक़ है मसनद-ए-रिफ़'अत रसूलुल्लाह की
देखनी है हश्र में 'इज़्ज़त रसूलुल्लाह की

क़ब्र में लहराएँगे ता-हश्र चश्मे नूर के
जल्वा फ़रमा होगी जब तल'अत रसूलुल्लाह की

काफ़िरों पर तेग़-ए-वाला से गिरी बर्क़-ए-ग़ज़ब
अब्र आसा छा गई हैबत रसूलुल्लाह की

ला-व-रब्बिल-'अर्श जिस को जो मिला उन से मिला
बटती है कौनैन में ने'मत रसूलुल्लाह की

वो जहन्नम में गया जो उन से मुस्तग़नी हुआ
है ख़लीलुल्लाह को हाजत रसूलुल्लाह की

सूरज उल्टे पाँव पलटे, चाँद इशारे से हो चाक
अंधे नज्दी ! देख ले क़ुदरत रसूलुल्लाह की

तुझ से और जन्नत से क्या मतलब, वहाबी ! दूर हो
हम रसूलुल्लाह के, जन्नत रसूलुल्लाह की

ज़िक्र रोके, फ़ज़्ल काटे, नुक़्स का जूयाँ रहे
फिर कहे मर्दक कि हूँ उम्मत रसूलुल्लाह की

नज्दी ! उस ने तुझ को मोहलत दी कि इस 'आलम में है
काफ़िर-ओ-मुर्तद पे भी रहमत रसूलुल्लाह की

हम भिकारी, वो करीम, उन का ख़ुदा उन से फ़ुज़ूँ
और ना कहना नहीं 'आदत रसूलुल्लाह की

अहल-ए-सुन्नत का है बेड़ा पार, असहाब-ए-हुज़ूर
नज्म हैं और नाओ है 'इत्रत रसूलुल्लाह की

ख़ाक हो कर 'इश्क़ में आराम से सोना मिला
जान की इक्सीर है उल्फ़त रसूलुल्लाह की

टूट जाएँगे गुनहगारों के फ़ौरन क़ैद-ओ-बंद
हश्र को खुल जाएगी ताक़त रसूलुल्लाह की

या रब ! इक सा'अत में धुल जाएँ सियह-कारों के जुर्म
जोश में आ जाए अब रहमत रसूलुल्लाह की

है गुल-ए-बाग़-ए-क़ुदुस रुख़्सार-ए-ज़ेबा-ए-हुज़ूर
सर्व-ए-गुलज़ार-ए-क़िदम क़ामत रसूलुल्लाह की

रज़ा ! ख़ुद साहिब-ए-क़ुरआँ है मद्दाह-ए-हुज़ूर
तुझ से कब मुमकिन है फिर मिदहत रसूलुल्लाह की


शायर:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी





'arsh-e-haq hai masnad-e-rif'at rasoolullah ki
dekhni hai hashr me.n 'izzat rasoolullah ki

qabr me.n lehraaenge taa-hashr chashme noor ke
jalwa farma hogi jab tal'at rasoolullah ki

kaafiro.n par teG-e-waala se giri barq-e-Gazab
abr aasa chha gai haibat rasoolullah ki

laa-wa-rabbil-'arsh jis ko jo mila un se mila
baT.ti hai kaunain me.n ne'mat rasoolullah ki

wo jahannam me.n gaya jo un se mustaGani huaa
hai KHaleelullah ko haajat rasoolullah ki

sooraj ulTe paanw palTe, chaand ishaare se ho chaak
andhe najdi ! dekh le qudrat rasoolullah ki

tujh se aur jannat se kya matlab, wahaabi ! door ho
ham rasoolullah ke, jannat rasoolullah ki

zikr roke, fazl kaaTe, nuqs ka jooyaa.n rahe
phir kahe mardak ki hu.n ummat rasoolullah ki

najdi ! us ne tujh ko mohlat di ki is 'aalam me.n hai
kaafir-o-murtad pe bhi rahmat rasoolullah ki

ham bhikaari wo kareem, un ka KHuda un se fuzoo.n
aur naa kehna nahi.n 'aadat rasoolullah ki

ahl-e-sunnat ka hai be.Da paar, as.haab-e-huzoor
najm hai.n aur naao hai 'itrat rasoolullah ki

KHaak ho kar 'ishq me.n aaraam se sona mila
jaan ki ikseer hai ulfat rasoolullah ki

TooT jaaenge gunahgaaro.n ke fauran qaid-o-band
hashr ko khul jaaegi taaqat rasoolullah ki

ya rab ! ik saa'at me.n dhul jaae.n siyah-kaaro.n ke jurm
josh me.n aa jaae ab rahmat rasoolullah ki

hai gul-e-baaG-e-qudus ruKHsaar-e-zeba-e-huzoor
sarw-e-gulzaar-e-qidam qaamat rasoolullah ki

ai Raza ! KHud saahib-e-qur.aa.n hai maddaah-e-huzoor
tujh se kab mumkin hai phir mid.hat rasoolullah ki


Poet:
Imam Ahmad Raza Khan

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki Lyrics in Hindi | Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki Lyrics in English | Arsh e Haq Hai Lyrics in Hindi | Arsh e Haq Hai Masnad e Rifat Rasool Allah Ki Lyrics | hak | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

बयाँ हो किस ज़बाँ से मर्तबा सिद्दीक़-ए-अकबर का / Bayan Ho Kis Zaban Se Martaba Siddiq-e-Akbar Ka

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ki Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasaai Hai

वो बन में क़दम रख दें तो बन जाता है बन फूल | सर-ता-ब-क़दम है तन-ए-सुल्तान-ए-ज़मन फूल तज़मीन के साथ / Wo Ban Mein Qadam Rakh Den To Ban Jata Hai Ban Phool | Sar-Ta-Ba-Qadam Hai Tan-e-Sultan-e-Zaman Phool With Tazmeen