ये बिल-यक़ीं हुसैन है नबी का नूर-ए-ऐन है / Ye Bil Yaqeen Hussain Hai Nabi Ka Noor-e-Ain Hai

ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है

लिबास है फटा हुवा, ग़ुबार में अटा हुवा
तमाम जिस्म-ए-नाज़नीं छिदा हुवा, कटा हुवा
ये कौन ज़ी-वक़ार है ! बला का शह-सवार है !
कि है हज़ारों क़ातिलों के सामने डटा हुवा

ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है

ये कौन हक़-परस्त है ? मय-ए-रज़ा-ए-मस्त है
कि जिस के सामने कोई बुलंद है न पस्त है
उधर हज़ार घात है, मगर अजीब बात है
कि एक से हज़ार-हा का हौसला शिकस्त है

ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है

दिलावरी में फ़र्द है, बड़ा ही शेर-मर्द है
कि जिस के दबदबे से रंग दुश्मनों का ज़र्द है
हबीब-ए-मुस्तफ़ा है ये, मुजाहिद-ए-ख़ुदा है ये
जभी तो इस के सामने ये फ़ौज गर्द-बर्द है

ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है

उधर सिपाह-ए-शाम है, हज़ार इंतिज़ाम है
उधर हैं दुश्मनान-ए-दीं, इधर फ़क़त इमाम है
मगर अजीब शान है, ग़ज़ब की आन-बान है
कि जिस तरफ़ उठी है तेग़ बस ख़ुदा का नाम है

ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है

ये जिस की एक ज़र्ब से, कमाल-ए-फ़न्न-ए-हर्ब से
कई शक़ी गिरे हुए तड़प रहे हैं कर्ब से
ग़ज़ब है तेग़-ए-दो-सरा, कि एक एक वार पर
उठी सदा-ए-अल-अमाँ ज़बान-ए-शर्क़-ओ-ग़र्ब से

ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है

'अबा भी तार तार है, तो जिस्म भी फ़िगार है
ज़मीन भी तपी हुई, फ़लक भी शो'ला-बार है
मगर ये मर्द-ए-तेग़-ज़न, ये सफ़-शिकन, फ़लक-फ़िगन
कमाल-ए-सब्र-ओ-तन-दही से महव-ए-कार-ज़ार है

ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-'ऐन है


शायर:
हफ़ीज़ जालंधरी

ना'त-ख़्वाँ:
नुसरत फ़तेह अली ख़ान
अमजद बल्तिस्तानी
मीलाद रज़ा क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी



ye bil-yaqee.n husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai
husain hi husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai

libaas hai fata huwa, Gubaar me.n aTa huwa
tamaam jism-e-naaznee.n chhida huwa, kaTa huwa
ye kaun zee-waqaar hai ! bala ka shah-sawaar hai
ki hai hazaaro.n qaatilo.n ke saamne DaTa huwa

ye bil-yaqee.n husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai
husain hi husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai

ye kaun haq-parast hai ? may-e-riza-e-mast hai
ki jis ke saamne koi buland hai na past hai
udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai
ki ek se hazaar-haa ka hausla shikast hai

ye bil-yaqee.n husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai
husain hi husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai

dilaawari me.n fard hai, ba.Da hi sheer-mard hai
ki jis ke dabdabe se rang dushmano.n ka zard hai
habeeb-e-mustafa hai ye, mujaahid-e-KHuda hai ye
jabhi to is ke saamne ye fauj gard-bard hai

ye bil-yaqee.n husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai
husain hi husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai

udhar sipaah-e-shaam hai, hazaar intizaam hai
udhar hai.n dushmanaan-e-dee.n, idhar faqat imaam hai
magar ajeeb shaan hai, Gazab ki aan-baan hai
ki jis taraf uThi hai teG bas KHuda ka naam hai

ye bil-yaqee.n husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai
husain hi husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai

ye jis ki ek zarb se, kamaal-e-fann-e-harb se
kai shaqee gire hue ta.Dap rahe hai.n karb se
Gazab hai teG-e-do-saraa, ki ek ek waar par
uThi sada-e-al-amaa.n zabaan-e-sharq-o-Garb se

ye bil-yaqee.n husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai
husain hi husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai

'aba bhi taar taar hai, to jism bhi figaar hai
zameen bhi tapi hui, falak bhi sho'la-baar hai
magar ye mard-e-teG-zan, ye saf-shikan, falak-figan
kamaal-e-sabr-o-tan-dahi se mahw-e-kaar-zaar hai

ye bil-yaqee.n husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai
husain hi husain hai, nabi ka noor-e-'ain hai


Poet:
Hafeez Jalandhari

Naat-Khwaan:
Nusrat Fateh Ali Khan
Amjad Baltistani
Milad Raza Qadri
Muhammad Hassan Raza Qadri
Yeh Bil Yaqeen Hussain Hai Lyrics, Yeh Bil Yaqeen Hussain Hai Lyrics in Hindi, Ye Bil Yaqeen Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai Lyrics, Hussain Hai Hussain Hai husain hai bilyaqeen noore ayn he hei hai hein hain | Yeh Bil Yaqeen Hussain Hai Lyrics | Yeh Bil Yaqeen Hussain Hai Lyrics in Hindi | Ye Bil Yaqeen Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai Lyrics | Nusrat Fateh Ali Khan Naat Lyrics | Muharram Naat Lyrics | Wo Woh bilyaqeen bilyakeen noore ain ayn lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, Wo bil Yaqeen woh नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)