रसूल-ए-पाक के शैदा मेरे फ़ारूक़-ए-आज़म हैं / Rasool-e-Pak Ke Shaida Mere Farooq-e-Azam Hain

सलामन या अमीर-अल-मोमिनीन !
सलामन या ख़लीफ़तुल-मुस्लिमीन !
सलामन या 'उमर अल-फ़ारूक़ !
सलामन या 'उमर अल-फ़ारूक़ !

अमीरुल-मोमिनीन फ़ारूक़-ए-आ'ज़म !
अमीरुल-मोमिनीन फ़ारूक़-ए-आ'ज़म !

रसूल-ए-पाक के शैदा मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं
है जिन का 'अर्श पर चर्चा, मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

रसूल-ए-पाक के शैदा मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

बाक़ी है तेरे नाम की तौक़ीर अभी तक
फैली है तेरे 'अद्ल की तनवीर अभी तक

ऐ हज़रत-ए-फ़ारूक़ वज़ीर-ए-शह-ए-कौनैन !
है क़ाफ़िला-ए-'इश्क़ का तू मीर अभी तक

डरते हैं तेरे नाम से शैतान के चेले
है तेरे ग़ज़ब में वही तासीर अभी तक

गुस्ताख़-ए-नबी आज तलक काँप रहे हैं
गर्दन नहीं भूली तेरी शमशीर अभी तक

ज़ालिम के कलेजे हैं तेरे 'अद्ल से लर्ज़ां
है ज़ुल्म के सीने में तेरा तीर अभी तक

इस्लाम की तहज़ीब को घेरे हैं यज़ीदी
कर्बल में हैं इस वक़्त के शब्बीर अभी तक

तुम ने जो लगाया था कभी बद्र-ओ-उहुद में
है गूँजता वो ना'रा-ए-तकबीर अभी तक

ना'रा-ए-तकबीर !
अल्लाहु अकबर ! अल्लाहु अकबर !

अस्सलाम अस्सलाम इमाम-ए-'आदिल !
अस्सलाम अस्सलाम इमाम-ए-'आदिल !


ऐवान-ए-अदालत पे त'अस्सुब का है क़ब्ज़ा
इंसाफ़ के दफ़्तर में है ताख़ीर अभी तक

ईसार-ओ-शुजा'अत के गौहर प्यारे 'उमर हैं
वो नाम है ए'ज़ाज़ की ता'बीर अभी तक

जन्नत की बशारत उन्हें सरकार ने बख़्शी
हर सम्त चमकती है वो तबशीर अभी तक

है ज़ात-ए-'उमर आ'दल-ए-असहाब, फ़रीदी !
बेशक वो हैं इक मीर-ए-जहाँगीर अभी तक

वो जिन पर बू-बकर की भी सदाक़त नाज़ करती थी
वो जिन पर मेरे 'उस्माँ की सख़ावत नाज़ करती थी
'अली शेर-ए-ख़ुदा की जिन पे क़ुव्वत नाज़ करती थी
वो फ़ख़्र-ए-सय्यिद-ए-बतहा मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

है जिन का 'अर्श पर चर्चा, मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

रसूल-ए-पाक के शैदा मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

सहाबी हो 'उमर जैसा, ख़लीफ़ा हो 'उमर जैसा
जहाँ पे हुक्मरानी का तरीक़ा हो 'उमर जैसा
ज़माना अब न देखेगा कोई भी हुक्मराँ ऐसा
जो 'आदिल हो 'उमर जैसा, जो सच्चा हो 'उमर जैसा

अमीरुल-मोमिनीन फ़ारूक़-ए-आ'ज़म !
अमीरुल-मोमिनीन फ़ारूक़-ए-आ'ज़म !

जलाली थे, नबी के 'इश्क़ में सरशार रहते थे
जिधर से भी गुज़रते थे शयातीं भाग जाते थे
मुनाफ़िक़ नाम सुनते थे तो डर से काँप जाते थे
था ऐसा दबदबा जिन का, मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

है जिन का 'अर्श पर चर्चा, मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

रसूल-ए-पाक के शैदा मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

समझ आता नहीं कैसे बताऊँ मर्तबा उन का
बुलाते थे जिन्हें फ़ारूक़ कह कर सय्यिद-ए-बतहा
जिन्हें सिद्दीक़-ए-अकबर ने बनाया जा-नशीं अपना
मिला जिन को नसीब ऐसा, मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

है जिन का 'अर्श पर चर्चा, मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

रसूल-ए-पाक के शैदा मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

जो, ऐ शौक़-ए-फ़रीदी ! मुस्तफ़ा के दिल की हैं चाहत
शहंशाह-ए-अदालत हैं, ख़ुदा की ख़ास हैं ने'मत
नबी के 'आशिक़ों के वास्ते अल्लाह की हैं रहमत
मुराद-ए-सरवर-ए-बतहा मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

है जिन का 'अर्श पर चर्चा, मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

रसूल-ए-पाक के शैदा मेरे फ़ारूक़-ए-आ'ज़म हैं

अमीरुल-मोमिनीन फ़ारूक़-ए-आ'ज़म !
अमीरुल-मोमिनीन फ़ारूक़-ए-आ'ज़म !


शायर:

मुहम्मद शौक़ीन नवाज़ शौक़ फ़रीदी

ना'त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
हाफ़िज़ अहसन क़ादरी





salaaman ya ameer-al-momineen !
salaaman ya KHalifatul-muslimeen !
salaaman ya 'umar al-faarooq !
salaaman ya 'umar al-faarooq !

ameerul-momineen faarooq-e-aa'zam !
ameerul-momineen faarooq-e-aa'zam !

rasool-e-paak ke shaida mere faarooq-e-aa'zam hai.n
hai jin ka 'arsh par charcha, mere faarooq-e-aa'zam hai.n

rasool-e-paak ke shaida mere faarooq-e-aa'zam hai.n

baaqi hai tere naam ki tauqeer abhi tak
phaili hai tere 'adl ki tanweer abhi tak

ai hazrat-e-faarooq wazeer-e-shah-e-kaunain !
hai qaafila-e-'ishq ka tu meer abhi tak

Darte hai.n tere naam se shaitaan ke chele
hai tere Gazab me.n wahi taaseer abhi tak

gustaaKH-e-nabi aaj talak kaanp rahe hai.n
gardan nahi.n bhuli tero shamsheer abhi tak

zaalim ke kaleje hai.n tere 'adl se larzaa.n
hai zulm ke seene me.n tera teer abhi tak

islaam ki tahzeeb ko ghere hai.n yazeedi
karbal me.n hai.n is waqt ke shabbir abhi tak

tum ne jo lagaaya tha kabhi badr-o-uhud me.n
hai goonjta wo naa'ra-e-takbeer abhi tak

naa'ra-e-takbeer !
allahu akbar ! allahu akbar !

assalaam assalaam imaam-e-'aadil !
assalaam assalaam imaam-e-'aadil !

aiwaan-e-adaalat pe ta'assub ka hai qabza
insaaf ke daftar me.n hai taaKHeer abhi tak

isaar-o-shujaa'at ke gauhar pyaare 'umar hai.n
wo naam hai e'zaaz ki taa'beer abhi tak

jannat ki bashaarat unhe.n sarkaar ne baKHshi
har samt chamakti hai wo tabsheer abhi tak

hai zaat-e-'umar aa'dal-e-as.haab, Fareedi !
beshak wo hai.n ik meer-e-jahaa.ngeer abhi tak

wo jin par bu-bakar ki bhi sadaaqat naaz karti thi
wo jin par mere 'usmaa.n ki saKHaawat naaz karti thi
'ali sher-e-KHuda ki jin pe quwwat naaz karti thi
wo faKHr-e-sayyid-e-bat.ha mere faarooq-e-aa'zam hai.n

hai jin ka 'arsh par charcha, mere faarooq-e-aa'zam hai.n

rasool-e-paak ke shaida mere faarooq-e-aa'zam hai.n

sahaabi ho 'umar jaisa, KHalifa ho 'umar jaisa
jahaa.n pe hukmaraani ka tareeqa ho 'umar jaisa
zamaana ab na dekhega koi bhi hukmaraa.n aisa
jo 'aadil ho 'umar jaisa, jo sachcha ho 'umar jaisa

ameerul-momineen faarooq-e-aa'zam !
ameerul-momineen faarooq-e-aa'zam !

jalaali the, nabi ke 'ishq me.n sarshaar rehte the
jidhar se bhi guzarte the shayaatee.n bhaag jaate the
munaafiq naam sunte the to Dar se kaanp jaate the
tha aisa dabdaba jin ka, mere faarooq-e-aa'zam hai.n

hai jin ka 'arsh par charcha, mere faarooq-e-aa'zam hai.n

rasool-e-paak ke shaida mere faarooq-e-aa'zam hai.n

samajh aata nahi.n kaise bataau.n martaba un ka
bulaate the jinhe.n faarooq keh kar sayyid-e-bat.ha
jinhe.n siddiq-e-akbar ne banaaya jaa-nashee.n apna
mila jin ko naseeb aisa, mere faarooq-e-aa'zam hai.n

hai jin ka 'arsh par charcha, mere faarooq-e-aa'zam hai.n

rasool-e-paak ke shaida mere faarooq-e-aa'zam hai.n

jo, ai Shauq-e-Fareedi ! mustafa ke dil ki hai.n chaahat
shahenshah-e-adaalat hai.n, KHuda ki KHaas hai.n ne'mat
nabi ke 'aashiqo.n ke waaste allah ki hai.n rehmat
muraad-e-sarwar-e-bat.ha mere faarooq-e-aa'zam hai.n

hai jin ka 'arsh par charcha, mere faarooq-e-aa'zam hai.n

rasool-e-paak ke shaida mere faarooq-e-aa'zam hai.n

ameerul-momineen faarooq-e-aa'zam !
ameerul-momineen faarooq-e-aa'zam !


Poet:
Muhammad Shauqeen Nawaz Shauq Fareedi

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Hafiz Ahsan Qadri
Mere Farooq-e-Azam Hain Lyrics | Mere Farooq e Azam Hain Lyrics in Hindi | Rasool e Pak Ke Shaida Mere Farooq e Azam Hain Lyrics | Manqabat e Umar Lyrics | Muharram Kalam Lyrics | farooqe faruqe faruq a'zam aazam hei hein shayda paak rasoole rasul rasule lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मेरे ताजुश्शरीआ की क्या शान है / Mere Tajushsharia Ki Kya Shaan Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)