ADVERTISEMENT

दिल-नशीं दिलरुबा है मुहम्मद का नाम / Dil Nasheen Dilruba Hai Muhammad Ka Naam

दिल-नशीं दिलरुबा है मुहम्मद का नाम
किस-क़दर पुर-ज़िया है मुहम्मद का नाम

लब हैं जब मिलते उल्फ़त से इक दूजे को
तब ही होता अदा है मुहम्मद का नाम

ग़म के मारों, सियाह-कारों, बीमारों की
धड़कनों में बसा है मुहम्मद का नाम

बंदगी-ए-ख़ुदा की तरफ़ खेंचती
इक मुबारक सदा है मुहम्मद का नाम

कलमा क़ुरआन में, अपनी आज़ान में
रब ने कैसे जड़ा है मुहम्मद का नाम

ला-इलाहा इलल्लाहु मुहम्मदुर्रसूलुल्लाह
कलमा में सज रहा है मुहम्मद का नाम

बा'द रब्ब-ए-अहद हश्र-मैदान में
इक शफ़ी'अ आसरा है मुहम्मद का नाम

जो हमें रब हमारे से मिलवा गया
वो निशाँ, वो पता है मुहम्मद का नाम

कुल नबियों में रब्ब ने चुना आप को
नामों में फिर चुना है मुहम्मद का नाम

झोंका ठंडी हवा का मुझे छू गया
मैं ने जब भी लिखा है मुहम्मद का नाम

नाम-लेवा है, अरशद ! सहाबा का तू
ये सिले में मिला है मुहम्मद का नाम


शायर:
मुफ़्ती सईद अरशद अल-हुसैनी

ना'त-ख़्वाँ:
मुफ़्ती सईद अरशद अल-हुसैनी
क़ारी मसूद अहमद





dil-nashee.n dilruba hai muhammad ka naam
kis-qadar pur-ziya hai muhammad ka naam

lab hai.n jab milte ulfat se ik dooje ko
tab hi hota ada hai muhammad ka naam

Gam ke maaro.n, siyaah-kaaro.n, beemaaro.n ki
dha.Dkano.n me.n basa hai muhammad ka naam

bandgi-e-KHuda ki taraf khenchti
ik mubaarak sada hai muhammad ka naam

kalma qur.aan me.n, apni aazaan me.n
rab ne kaise ja.Da hai muhammad ka naam

laa-ilaaha ilallaahu muhammadurrasoolullah
kalma me.n saj raha hai muhammad ka naam

baa'd rabb-e-ahad hashr-maidaan me.n
ik shafee'a aasra hai muhammad ka naam

jo hame.n rab hamaare se milwa gaya
wo nishaa.n, wo pata hai muhammad ka naam

kul nabiyo.n me.n rabb ne chuna aap ko
naamo.n me.n phir chuna hai muhammad ka naam

jhonka ThanDi hawa ka mujhe chhoo gaya
mai.n ne jab bhi likha hai muhammad ka naam

naam-lewa hai, Arshad ! sahaaba ka tu
ye sile me.n mila hai muhammad ka naam


Poet:
Mufti Saeed Arshad Al Hussaini

Naat-Khwaan:
Mufti Saeed Arshad Al Hussaini
Qari Masood Ahmad
Dil Nasheen Dil Ruba Hai Muhammad Ka Naam Lyrics | Dil Nasheen Dilruba Hai Muhammad Ka Naam Lyrics in Hindi | Dilnashin Dilruba Hai Muhammad Ka Nam Lyrics | dilnasheen dil naseein nasee'n he hei hain hein mohammad mohammed muhammed dil ruba | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer