शब की आहें न गईं सुब्ह के नाले न गए / Shab Ki Aahen Na Gain Subh Ke Naale Na Gaye

शब की आहें न गईं, सुब्ह के नाले न गए
उन की यादों से परे उन के जियाले न गए

सब्ज़ गुंबद पे नज़र पड़ते ही वो हाल हुआ
अपने जज़्बात किसी तरह सँभाले न गए

ऐसी दिल-जूई ज़माने में कहीं देखी है ?
उन से मुझ जैसे गुनहगार भी टाले न गए

इक तुम्ही हो कि निभाते हो हमेशा हम को
वर्ना हम जैसे किसी और से पाले न गए

रह गई लाज मेरी उन के सबब महशर में
लिल्लाहिल-हम्द मेरे 'ऐब खँगाले न गए

उन के रस्ते में वो हालत हो कि दुनिया देखे
ज़िंदगी जाती रही, पाँव के छाले न गए

वाह क्या शान है आक़ा की ! कि कहते हैं सभी
चाहे दो ज़ख़्म उन्हें, चाहने वाले न गए


ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





shab ki aahe.n na gai.n, sub.h ke naale na gaye
un ki yaado.n se pare un ke jiyaale na gaye

sabz gumbad pe nazar pa.Dte hi wo haal huaa
apne jazbaat kisi tarha sambhaale na gaye

aisi dil-jooi zamaane me.n kahi.n dekhi hai ?
un se mujh jaise gunahgaar bhi Taale na gaye

ik tumhi ho ki nibhaate ho hamesha ham ko
warna ham jaise kisi aur se paale na gaye

reh gai laaj meri un ke sabab mehshar me.n
lillahil-hamd mere 'aib khangaale na gaye

un ke raste me.n wo haalat ho ki duniya dekhe
zindagi jaati rahi, paanw ke chhaale na gaye

waah kya shaan hai aaqa ki ! ki kehte hai.n sabhi
chaahe do zaKHm unhe.n, chaahne waale na gaye


Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi
Shab Ki Aahen Na Gain Subh Ke Naale Na Gaye Lyrics | Shab Ki Aahein Na Gayi Subh Ke Nale Na Gaye Lyrics in Hindi | Shab Ki Aahein Na Gayi Lyrics | aahe sab gayin gaeen subah nale | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)