ADVERTISEMENT

नबी के नूर की बरकत जनाब-ए-ज़ैनब हैं / Nabi Ke Noor Ki Barkat Janab-e-Zainab Hain

नबी के नूर की बरकत जनाब-ए-ज़ैनब हैं
'अली के घर की शराफ़त जनाब-ए-ज़ैनब हैं

ख़दीजा नानी के चेहरे का 'अक्स हैं ज़ैनब
और अपने नाना की सीरत जनाब-ए-ज़ैनब हैं

हुसैन तेरे लिए रब ने उस को भेजा था
कि कर्बला की ज़रूरत जनाब-ए-ज़ैनब हैं

'अली के लहजे में दुश्मन से बात करती थी
'अली के ख़ुत्बे की हैबत जनाब-ए-ज़ैनब हैं

वो कर्बला में नज़र आईं मुर्तज़ा की तरह
यज़ीदियों पे क़यामत जनाब-ए-ज़ैनब हैं

बचा के लाइ है कर्बल से अपने 'आबिद को
'अली की नस्ल पे रहमत जनाब-ए-ज़ैनब हैं

कि उन का ग़म ही बनेगा नजात का ज़रिया'
मेरे लिए मेरी जन्नत जनाब-ए-ज़ैनब हैं

जो बख़्शवाएँगी महशर में तेरी नस्लों को
वो तेरी फूफी, शबाहत ! जनाब-ए-ज़ैनब हैं


शायर:
सय्यिद शबाहत हुसैन

ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





nabi ke noor ki barkat janaab-e-zainab hai.n
'ali ke ghar ki sharaafat janaab-e-zainab hai.n

KHadeeja naani ke chehre ka 'aks hai.n zainab
aur apne naana ki seerat janaab-e-zainab hai.n

husain tere liye rab ne us ko bheja tha
ki karbala ki zaroorat janaab-e-zainab hai.n

'ali ke lehje me.n dushman se baat karti thi
'ali ke KHutbe ki haibat janaab-e-zainab hai.n

wo karbala me.n nazar aai.n murtaza ki tarah
yazeediyo.n pe qayamaat janaab-e-zainab hai.n

bacha ke laai hai karbal se apne 'aabid ko
'ali ki nasl pe rahmat janaab-e-zainab hai.n

ki un ka Gam hi banega najaat ka zariya'
mere liye meri jannat janaab-e-zainab hai.n

jo baKHshwaaengi mahshar me.n teri naslo.n ko
wo teri phoophi, Shabaahat ! janaab-e-zainab hai.n


Poet:
Sayyed Shabahat Hussain

Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

फ़ज़्ल-ए-रब्ब-ए-पाक से भाई मेरा दूल्हा बना | मदनी सेहरा / Fazl-e-Rabb-e-Pak Se Bhai Mera Dulha Bana | Madani Wedding Sehra

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो बन में क़दम रख दें तो बन जाता है बन फूल | सर-ता-ब-क़दम है तन-ए-सुल्तान-ए-ज़मन फूल तज़मीन के साथ / Wo Ban Mein Qadam Rakh Den To Ban Jata Hai Ban Phool | Sar-Ta-Ba-Qadam Hai Tan-e-Sultan-e-Zaman Phool With Tazmeen

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale