ADVERTISEMENT

जिस दर पे ग़ुलामों के हालात बदलते हैं / Jis Dar Pe Ghulamon Ke Halaat Badalte Hain

जिस दर पे ग़ुलामों के हालात बदलते हैं
आओ उसी आक़ा के दरबार में चलते हैं

ये अपना 'अक़ीदा है, जाएँगे वो जन्नत में
सरकार की सीरत के साँचे में जो ढलते हैं

जिस दर पे ग़ुलामों के हालात बदलते हैं
आओ उसी आक़ा के दरबार में चलते हैं

लिल्लाह बुला लीजिए दुख-दर्द के मारों को
तयबा की ज़ियारत को अरमान मचलते हैं

जिस दर पे ग़ुलामों के हालात बदलते हैं
आओ उसी आक़ा के दरबार में चलते हैं

होता है करम जिन पे सुल्तान-ए-मदीना का
तूफ़ान की मौजों से बे-ख़ौफ़ निकलते हैं

जिस दर पे ग़ुलामों के हालात बदलते हैं
आओ उसी आक़ा के दरबार में चलते हैं

तू अदना गदा बन जा सरकार की चौखट का
सब शाह-ओ-गदा जिन की ख़ैरात पे पलते हैं

जिस दर पे ग़ुलामों के हालात बदलते हैं
आओ उसी आक़ा के दरबार में चलते हैं

कहता हूँ, मु'ईन ! उस दम मैं ना'त-ए-शह-ए-वाला
जज़्बात मेरे जिस दम अश'आर में ढलते हैं

जिस दर पे ग़ुलामों के हालात बदलते हैं
आओ उसी आक़ा के दरबार में चलते हैं


ना'त-ख़्वाँ:
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुसैनी





jis dar pe Gulaamo.n ke haalaat badalte hai.n
aao usi aaqa ke darbaar me.n chalte hai.n

ye apna 'aqeeda hai, jaaenge wo jannat me.n
sarkaar ki seerat ke sanche me.n jo Dhalte hai.n

jis dar pe Gulaamo.n ke haalaat badalte hai.n
aao usi aaqa ke darbaar me.n chalte hai.n

lillaah bula lijiye dukh-dard ke maaro.n ko
tayba ki ziyaarat ko armaan machalte hai.n

jis dar pe Gulaamo.n ke haalaat badalte hai.n
aao usi aaqa ke darbaar me.n chalte hai.n

hota hai karam jin pe sultaan-e-madina ka
toofaan ki maujo.n se be-KHauf nikalte hai.n

jis dar pe Gulaamo.n ke haalaat badalte hai.n
aao usi aaqa ke darbaar me.n chalte hai.n

tu adna gada ban jaa sarkaar ki chaukhaT ka
sab shaah-o-gada jin ki KHairaat pe palte hai.n

jis dar pe Gulaamo.n ke haalaat badalte hai.n
aao usi aaqa ke darbaar me.n chalte hai.n

kehta hu.n, Mu'een ! us dam mai.n naa't-e-shah-e-waala
jazbaat mere jis dam ash'aar me.n Dhalte hai.n

jis dar pe Gulaamo.n ke haalaat badalte hai.n
aao usi aaqa ke darbaar me.n chalte hai.n


Naat-Khwaan:
Syed Hassan Ullah Hussaini

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

फ़ज़्ल-ए-रब्ब-ए-पाक से भाई मेरा दूल्हा बना | मदनी सेहरा / Fazl-e-Rabb-e-Pak Se Bhai Mera Dulha Bana | Madani Wedding Sehra

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो बन में क़दम रख दें तो बन जाता है बन फूल | सर-ता-ब-क़दम है तन-ए-सुल्तान-ए-ज़मन फूल तज़मीन के साथ / Wo Ban Mein Qadam Rakh Den To Ban Jata Hai Ban Phool | Sar-Ta-Ba-Qadam Hai Tan-e-Sultan-e-Zaman Phool With Tazmeen

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale