जब उन का करम हो जाता है जब उन की अता हो जाती है / Jab Un Ka Karam Ho Jata Hai Jab Un Ki Ata Ho Jati Hai

जब उन का करम हो जाता है, जब उन की 'अता हो जाती है
आँखें भी मुनव्वर होती हैं, सीने पे जिला हो जाती है

हस्ती जो नबी की उल्फ़त में, वल्लाह ! फ़ना हो जाती है
महबूब-ए-ख़ुदा के सदक़े में, महबूब-ए-ख़ुदा हो जाती है

दुख-दर्द हो कोई दुनियावी या ख़ौफ़-ए-लहद हो 'आसी को
ऐ सल्ले-'अला ! उन की रहमत हर ग़म की दवा हो जाती है

मख़्लूक़ भी उल्फ़त करती है, ख़ालिक़ भी करम फ़रमाता है
जब उन की निगाह-ए-लुत्फ़-ओ-करम ऐ सल्ले-'अला हो जाती है

है नाम-ए-मुहम्मद सल्ले-'अला ख़ुशनूदी-ए-ख़ालिक़ का ज़री'आ
जो उन के वसीले से माँगो, मक़बूल दु'आ हो जाती है

क़ब्ज़े में ख़ुदाई है उन के, मुख़्तार हैं सारी ने'मत के
दरबार-ए-रसूल-ए-अकरम से हर चीज़ 'अता हो जाती है

उम्मत से उन्हें है प्यार ऐसा, इक ठेस सी दिल पर लगती है
आक़ा के ग़ुलामों से सरज़द जब कोई ख़ता हो जाती है

हो गुंबद-ए-ख़ज़रा पेश-ए-नज़र, आँखों में सिकंदर ! आँसू हों
फिर साया-फ़िगन उस के सर पर रहमत की घटा हो जाती है


शायर:
सिकंदर लखनवी

ना'त-ख़्वाँ:
हम्ज़ा अनवर रहमानी
अल्लामा हस्सान मयारी





jab un ka karam ho jaata hai, jab un ki 'ata ho jaati hai
aankhe.n bhi munawwar hoti hai.n, seene pe jila ho jaati hai

hasti jo nabi ki ulfat me.n, wallah ! fana ho jaati hai
mahboob-e-KHuda ke sadqe me.n, mahboob-e-KHuda ho jaati hai

dukh-dard ho koi duniyaawi ya KHauf-e-lahad ho 'aasi ko
ai salle-'ala un ki rahmat har Gam ki dawa ho jaati hai

maKHlooq bhi ulfat karti hai, KHaaliq bhi karam farmaata hai
jab un ki nigaah-e-lutf-o-karam ai salle-'ala ho jaati hai

hai naam-e-muhammad salle-'ala KHushnoodi-e-KHaaliq ka zari'aa
jo un ke waseele se maango, maqbool du'aa ho jaati hai

qabze me.n KHudaai hai un ke, muKHtaar hai.n saari ne'mat ke
darbaar-e-rasool-e-akram se har cheez 'ata ho jaati hai

ummat se unhe.n hai pyaar aisa, ik Thes si dil par lagti hai
aaqa ke Gulaamo.n se sarzad jab koi KHata ho jaati hai

ho gumbad-e-KHazra pesh-e-nazar, aankho.n me.n Sikandar ! aansu ho.n
phir saaya-figan un ke sar par rahmat ki ghaTa ho jaati hai


Poet:
Sikandar Lakhnavi (Sikandar Lucknowi)

Naat-Khwaan:
Hamza Anwer Rehmani
Allama Hassan Mayari
Jab Unka Karam Ho Jata Hai Lyrics | Jab Unka Karam Ho Jata Hai Jab Unki Ata Ho Jati Hai Lyrics in Hindi | Jab Unka Karam Hojata Hay Lyrics in Hindi | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2024

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)