ADVERTISEMENT

ख़ुशी है कैसी ये क्यूँ चेहरे जगमगाए हैं | ख़ुदा के फ़ज़्ल से रमज़ाँ के रोज़े आए हैं / Khushi Hai Kaisi Ye Kyun Chehre Jagmagae Hain | Khuda Ke Fazl Se Ramzan Ke Roze Aaye Hain

माह-ए-रमज़ाँ मुबारक हो ! माह-ए-रमज़ाँ मुबारक हो !
माह-ए-रमज़ाँ मुबारक हो ! माह-ए-रमज़ाँ मुबारक हो !

ख़ुशी है कैसी ये, क्यूँ चेहरे जगमगाए हैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से रमज़ाँ के रोज़े आए हैं
निजात के हैं ये बादल जो फिर से छाए हैं
हो जिन से राज़ी ख़ुदा ऐसे आप काम करो
ये माह-ए-रमज़ाँ है, इस का तुम एहतिराम करो

ख़ुशी है कैसी ये, क्यूँ चेहरे जगमगाए हैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से रमज़ाँ के रोज़े आए हैं

हुआ है क़ैद ल'ईं और इस के सब चेले
कि बंद हो गए दोज़ख़ के इस में दरवाज़े
खुला है बाब-ए-करम, ख़ुश हैं रब के सब बंदे
कि शुक्र रब का, गुनहगारो ! सुब्ह-ओ-शाम करो
ये माह-ए-रमज़ाँ है, इस का तुम एहतिराम करो

ख़ुशी है कैसी ये, क्यूँ चेहरे जगमगाए हैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से रमज़ाँ के रोज़े आए हैं

जो रोज़े छोड़ के तुम दिन-दहाड़े खाओगे
ख़ुदा रसूल को तुम कैसे मुँह दिखाओगे
सज़ा ये होगी कि दोज़ख़ में डाले जाओगे
जो ख़ैर चाहो तो रोज़ों का इंतिज़ाम करो
ये माह-ए-रमज़ाँ है, इस का तुम एहतिराम करो

ख़ुशी है कैसी ये, क्यूँ चेहरे जगमगाए हैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से रमज़ाँ के रोज़े आए हैं

हर एक चेहरा है रौशन, खिली है दिल की कली
बढ़ी 'अक़ीदतें, ईमाँ को ताज़गी है मिली
अज़ानों की है सदा और लब पे ना'त-ए-नबी
कि शुक्र रौनक़-ए-इफ़्तार पर तमाम करो
ये माह-ए-रमज़ाँ है, इस का तुम एहतिराम करो

ख़ुशी है कैसी ये, क्यूँ चेहरे जगमगाए हैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से रमज़ाँ के रोज़े आए हैं

करो तिलावत-ए-क़ुरआन आप कसरत से
क़रीब होते ही जाओगे रब की रहमत से
मिलेगा चैन दुरूदों से और 'इबादत से
कि ताक़ रातों में, ऐ मोमिनो ! क़ियाम करो
ये माह-ए-रमज़ाँ है, इस का तुम एहतिराम करो

ख़ुशी है कैसी ये, क्यूँ चेहरे जगमगाए हैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से रमज़ाँ के रोज़े आए हैं

ये बख़्शिशों का महीना है रहमतें भी हैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से इस माह में बरकतें भी हैं
मुराद पाओगे जिन में वो सा'अतें भी हैं
हर एक लम्हा, ऐ 'आसिम ! इसी के नाम करो
ये माह-ए-रमज़ाँ है, इस का तुम एहतिराम करो

ख़ुशी है कैसी ये, क्यूँ चेहरे जगमगाए हैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से रमज़ाँ के रोज़े आए हैं


शायर:
मुहम्मद आसिम-उल-क़ादरी मुरादाबादी

ना'त-ख़्वाँ:
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी





maah-e-ramzaa.n mubaarak ho !
maah-e-ramzaa.n mubaarak ho !

KHushi hai kaisi ye, kyu.n chehre jagmagaae hai.n
KHuda ke fazl se ramzaa.n ke roze aae hai.n
nijaat ke hai.n ye baadal jo phir se aae hai.n
ho jin se raazi KHuda aise aap kaam karo
ye maah-e-ramzaa.n hai, is ka tum ehtiraam karo

KHushi hai kaisi ye, kyu.n chehre jagmagaae hai.n
KHuda ke fazl se ramzaa.n ke roze aae hai.n

huaa hai qaid la'ee.n aur is ke sab chele
ki band ho gae dozaKH ke is me.n darwaaze
khula hai baab-e-karam, KHush hai.n rab ke sab bande
ki shukr rab ka, gunahgaaro ! sub.h-o-shaam karo
ye maah-e-ramzaa.n hai, is ka tum ehtiraam karo

KHushi hai kaisi ye, kyu.n chehre jagmagaae hai.n
KHuda ke fazl se ramzaa.n ke roze aae hai.n

jo roze chho.D ke tum din-dahaa.De khaaoge
KHuda rasool ko tum kaise munh dikhaaoge
saza ye hogi ki dozaKH me.n Daale jaaoge
jo KHair chaaho to rozo.n ka intizaam karo
ye maah-e-ramzaa.n hai, is ka tum ehtiraam karo

KHushi hai kaisi ye, kyu.n chehre jagmagaae hai.n
KHuda ke fazl se ramzaa.n ke roze aae hai.n


har ek chehra hai raushan, khili hai dil ki kali
ba.Di 'aqeedate.n, imaa.n ko taazgi hai mili
azaano.n ki hai sada aur lab pe naa't-e-nabi
ki shukr raunaq-e-iftaar par tamaam karo
ye maah-e-ramzaa.n hai, is ka tum ehtiraam karo

KHushi hai kaisi ye, kyu.n chehre jagmagaae hai.n
KHuda ke fazl se ramzaa.n ke roze aae hai.n

karo tilaawat-e-qur.aan aap kasrat se
qareeb hote hi jaaoge rab ki rahmat se
milega chain duroodo.n se aur 'ibaadat se
ki taaq raato.n me.n, ai momino ! qiyaam karo
ye maah-e-ramzaa.n hai, is ka tum ehtiraam karo

KHushi hai kaisi ye, kyu.n chehre jagmagaae hai.n
KHuda ke fazl se ramzaa.n ke roze aae hai.n


ye baKHshisho.n ka mahina hai rahmate.n bhi hai.n
KHuda ke fazl se is maah me.n barkate.n bhi hai.n
muraad paaoge jin me.n wo saa'ate.n bhi hai.n
har ek lamha, ai 'Aasim ! isi ke naam karo
ye maah-e-ramzaa.n hai, is ka tum ehtiraam karo

KHushi hai kaisi ye, kyu.n chehre jagmagaae hai.n
KHuda ke fazl se ramzaa.n ke roze aae hai.n


Poet:
Muhammad Asim-ul-Qadri Moradabadi

Naat-Khwaan:
Ghulam Mustafa Qadri
Khushi Hai Kaisi Ye Kyun Chehre Jagmagaye Hain Lyrics in Hindi | Khuda Ke Fazl Se Ramzan Ke Roze Aaye Hain Lyrics in Hindi | Ramzan Naat Lyrics | kaysi kyu rauze hei hein hai | kay rozay ramadan special lyrics | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025

Comments

Most Popular

मुस्तफ़ा के पाले हैं हम बरेली वाले हैं / Mustafa Ke Pale Hain Hum Bareilly Wale Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

मस्लक-ए-आला-हज़रत सलामत रहे | या ख़ुदा चर्ख़-ए-इस्लाम पर ता-अबद / Maslak-e-Ala-Hazrat Salamat Rahe | Ya Khuda Charkh-e-Islam Par Ta-Abad

जो सुन्नियत की शान है रज़ा उसी का नाम है | रज़ा रज़ा रज़ा रज़ा / Jo Sunniyat Ki Shaan Hai Raza Usi Ka Naam Hai | Raza Raza Raza Raza

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana