ADVERTISEMENT

तेरी जनाब के जैसी कोई जनाब नहीं / Teri Janab Ke Jaisi Koi Janab Nahin

तेरी जनाब के जैसी कोई जनाब नहीं
तू ला-जवाब है, तेरा कोई जवाब नहीं

नबी तो और हसीन-ओ-जमील हैं लेकिन
जो तुझ में आब है ऐसी किसी में आब नहीं

बना के हुस्न-ए-सरापा ये कह दिया रब ने
तेरे शबाब के आगे कोई शबाब नहीं

तुम्हारे ज़ुल्फ़ है वल्लैल, वद्दुहा चेहरा
तुम्हारी मस्त नज़र का कोई जवाब नहीं

तुम्हारे नूर से शम्स-ओ-क़मर हुए रौशन
वो कौन है जो तेरे दर से फ़ैज़याब नहीं

ख़ुदा ने तूर पे मूसा से लन-तरानी कहा
कहा हबीब से, तुम से कोई हिजाब नहीं

हुज़ूर ! जिस को दिया तुम ने बे-हिसाब दिया
तुम्हारी देन में, आक़ा ! कोई हिसाब नहीं

कहाँ है मेरी नज़र उन की दीद के क़ाबिल
वो मेरे दिल में हैं लेकिन नज़र को ताब नहीं

तेरी नज़र ने मुझे क्या से क्या बना डाला
तेरी 'इनायतें इतनी हैं कि हिसाब नहीं

उन्हें ख़ुदा ने बनाया है रहमत-ए-'आलम
जो उन के हो गए उन को कोई 'अज़ाब नहीं

वो जिन को हाजत-ए-जन्नत है, या ख़ुदा ! दे दे
मेरा तो उन के सिवा कोई इंतिख़ाब नहीं

तुम्हारे नक़्श-ए-क़दम से जो हट गए हैं वही
हज़ार सज्दे करें फिर भी कामयाब नहीं

जो देख आए हैं, ए'जाज़ ! गुंबद-ए-ख़ज़रा
मैं कैसे कह दूँ कि दिल उन के आफ़ताब नहीं


शायर:
ए'जाज़ अहमद ए'जाज़ क़ादरी

ना'त-ख़्वाँ:
सक़लैन रशीद





teri janaab ke jaisi koi janaab nahi.n
tu laa-jawaab hai, tera koi jawaab nahi.n

nabi to aur haseen-o-jameel hai.n lekin
jo tujh me.n aab hai aisi kisi me.n aab nahi.n

bana ke husn-e-saraapa ye keh diya rab ne
tere shabaab ke aage koi shabaab nahi.n

tumhaare zulf hai wallail, wadduha chehra
tumhaari mast nazar ka koi jawaab nahi.n

tumhaare noor se shams-o-qamar hue raushan
wo kaun hai jo tere dar se faizyaab nahi.n

KHuda ne toor pe moosa se lan-taraani kaha
kaha habeeb se, tum se koi hijaab nahi.n

huzoor ! jis ko diya tum ne be-hisaab diya
tumhaari den me.n, aaqa ! koi hisaab nahi.n

kahaa.n hai meri nazar un ki deed ke qaabil
wo mere dil me.n hai.n lekin nazar ko taab nahi.n

teri nazar ne mujhe kya se kya bana Daala
teri 'inaayate.n itni hai.n ki hisaab nahi.n

unhe.n KHuda ne banaaya hai rahmat-e-'aalam
jo un ke ho gae un ko koi 'azaab nahi.n

wo jin ko haajat-e-jannat hai, ya KHuda ! de de
mera to un ke siwa koi intiKHaab nahi.n

tumhaare naqsh-e-qadam se jo haT gae hai.n wahi
hazaar sajde kare.n phir bhi kaamyaab nahi.n

jo dekh aae hai.n, E'jaaz ! gumbad-e-KHazra
mai.n kaise keh du.n ki dil un ke aaftaab nahi.n


Poet:
Ejaz Ahmad Ejaz Qadri

Naat-Khwaan:
Saqlain Rasheed

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai