ADVERTISEMENT

या सय्यदी हबीबी ख़ैर-उल-अनाम आक़ा | अपने सलामियों का ले लो सलाम आक़ा / Ya Sayyadi Habibi Khairul Anam Aaqa | Apne Salamiyon Ka Le Lo Salam Aaqa

या सय्यदी हबीबी ख़ैर-उल-अनाम आक़ा !
अपने सलामियों का ले लो सलाम, आक़ा !

आए हैं हाथ ख़ाली, भर दो हुज़ूर-ए-'आली !
माँगे है आज तुम से मँगतों की ख़स्ता-हाली
रहमत की सुब्ह आक़ा ! रहमत की शाम आक़ा !

या सय्यदी हबीबी ख़ैर-उल-अनाम आक़ा !
अपने सलामियों का ले लो सलाम, आक़ा !

तुम से ज़ियादा प्यारी जाँ भी नहीं हमारी
दोनों जहाँ मिले हैं दहलीज़ पर तुम्हारी
आक़ाइयाँ हुई हैं तुम पर तमाम, आक़ा !

या सय्यदी हबीबी ख़ैर-उल-अनाम आक़ा !
अपने सलामियों का ले लो सलाम, आक़ा !

एहसास में जड़े हैं, मुजरिम बने खड़े हैं
शर्मिंदा भी बहुत हैं, मुश्ताक़ भी बड़े हैं
हम को मु'आफ़ कर दो, हम हैं ग़ुलाम, आक़ा !

या सय्यदी हबीबी ख़ैर-उल-अनाम आक़ा !
अपने सलामियों का ले लो सलाम, आक़ा !


नशीद-ख़्वाँ:
अज़ीज़ नाज़ाँ





ya sayyadi habeebi KHair-ul-anaam aaqa !
apne salaamiyo.n ka le lo salaam, aaqa !

aae hai.n haath KHaali, bhar do huzoor-e-'aali !
maange hai aaj tum se mangto.n ki KHasta-haali
rahmat ki sub.h aaqa ! rahmat ki shaam aaqa !

ya sayyadi habeebi KHair-ul-anaam aaqa !
apne salaamiyo.n ka le lo salaam, aaqa !

tum se ziyaada pyaari jaa.n bhi nahi.n hamaari
dono.n jahaa.n mile hai.n dehleez par tumhaari
aaqaaiyaa.n hui hai.n tum par tamaam, aaqa !

ya sayyadi habeebi KHair-ul-anaam aaqa !
apne salaamiyo.n ka le lo salaam, aaqa !

ehsaas me.n ja.De hai.n mujrim bane kha.De hai.n
sharminda bhi bahut hai.n, mushtaaq bhi ba.De hai.n
ham ko mu'aaf kar do, ham hai.n Gulaam, aaqa !

ya sayyadi habeebi KHair-ul-anaam aaqa !
apne salaamiyo.n ka le lo salaam, aaqa !


Nasheed-Khwaan:
Aziz Nazan

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer