तड़प उठता है दिल लफ़्ज़ों में दोहराई नहीं जाती / Tadap Uthta Hai Dil Lafzon Mein Dohrai Nahin Jaati

तड़प उठता है दिल, लफ़्ज़ों में दोहराई नहीं जाती
ज़बाँ पर कर्बला की दास्ताँ लाई नहीं जाती

हुसैन इब्न-ए-'अली के ग़म में हूँ दुनिया से बेगाना
हुजूम-ए-ख़ल्क़ में भी मेरी तन्हाई नहीं जाती

उदासी छा रही है रूह पर शाम-ए-ग़रीबाँ की
तबी'अत है कि बहलाने से बहलाई नहीं जाती

कहा 'अब्बास ने, अफ़सोस बाज़ू कट गए मेरे
सकीना तक ये मश्क-ए-आब ले जाई नहीं जाती

सुना है कर्बला की ख़ाक है इक्सीर से बढ़ कर
ये मिट्टी आँख में लेने से बीनाई नहीं जाती

जतन हर दौर में क्या क्या न अहल-ए-शर ने कर देखे
मगर ज़हरा के प्यारों की पज़ीराई नहीं जाती

दलील इस से हो बढ़ कर क्या शहीदों की तहारत पर
कि मय्यत दफ़्न की जाती है, नहलाई नहीं जाती

तमाँचे मार लो, ख़ैमे जला लो, क़ैद में रख लो
'अली के गुल-रुख़ों से बू-ए-ज़हराई नहीं जाती

कहा शब्बीर ने, 'अब्बास ! तुम मुझ को सहारा दो
कि तन्हा लाश-ए-अकबर मुझ से दफ़नाई नहीं जाती

हुसैनिय्यत को पाना है तो टक्कर ले यज़ीदों से
ये वो मंज़िल है जो लफ़्ज़ों में समझाई नहीं जाती

वो जिन चेहरों को ज़ीनत ग़ाज़ा-ए-ख़ाक-ए-नजफ़ बख़्शे
दम-ए-आख़िर भी उन चेहरों की ज़ेबाई नहीं जाती

कोई भी दौर हो, तू ही इमाम-ए-ग़म ठहरता है
ग़म-ए-शब्बीर ! तेरी शान-ए-यकताई नहीं जाती

नसीर ! आख़िर 'अदावत के भी कुछ आदाब होते हैं
किसी बीमार को ज़ंजीर पहनाई नहीं जाती


शायर:
पीर नसीरुद्दीन नसीर

ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





ta.Dap uThta hai dil, lafzo.n me.n dohraai nahi.n jaati
zabaa.n par karbala ki daastaa.n laai nahi.n jaati

husain ibn-e-'ali ke Gam me.n hu.n duniya se begaana
hujoom-e-KHalq me.n bhi meri tanhaai nahi.n jaati

udaasi chhaa rahi hai rooh par shaam-e-Gareebaa.n ki
tabee'at hai ki behlaane se behlaai nahi.n jaati

kaha 'abbaas ne, afsos baazu kaT gae mere
sakeena tak ye mashk-e-aab le jaai nahi.n jaati

suna hai karbala ki KHaak hai ikseer se ba.Dh kar
ye miTTi aankh me.n lene se beenaai nahi.n jaati

jatan har daur me.n kya kya na ahl-e-shar ne kar dekhe
magar zahra ke pyaaro.n ki pazeeraai nahi.n jaati

daleel is se ho ba.Dh kar kya shaheedo.n ki tahaarat par
ki mayyat dafn ki jaati hai, nehlaai nahi.n jaati

tamaanche maar lo, KHaime jala lo, qaid me.n rakh lo
'ali ke gul-ruKHo.n se boo-e-zahraai nahi.n jaati

kaha shabbir ne, 'abbaas ! tum mujh ko sahaara do
ki tanha laash-e-akbar mujh se dafnaai nahi.n jaati

husainiyyat ko paana hai to Takkar le yazeedo.n se
ye wo manzil hai jo lafzo.n me.n samjhaai nahi.n jaati

wo jin chehro.n ko zeenat Gaaza-e-KHaak-e-najaf baKHshe
dam-e-aaKHir bhi un chehro.n ki zebaai nahi.n jaati

koi bhi daur ho, tu hi imaam-e-Gam Thaharta hai
Gam-e-shabbir ! teri shaan-e-yaktaai nahi.n jaati

Naseer ! aaKHir 'adaawat ke bhi kuchh aadaab hote hai.n
kisi beemaar ko zanjeer pehnaai nahi.n jaati


Poet:
Pir Naseeruddin Naseer

Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi
Tadap Uthta Hai Dil Lafzon Mein Dohrai Nahin Jaati Lyrics in Hindi | Tadap Uthta Hai Dil Lafzon Mein Dohrai Nahi Jaati Lyrics | Muharram Kalam Lyrics | tadapta hai dil lafzon mein Lyrics | Tadapta hai dil lafzon mein dohrai nahin jaati lyrics | hei hain hein lafzo me mei mai main jati | Pir Naseeruddin Naseer Naat Lyrics | tarap lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की | या हुसैन इब्न-ए-अली / Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki | Ya Hussain Ibne Ali

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

मेरा बादशाह हुसैन है | ऐसा बादशाह हुसैन है / Mera Baadshaah Husain Hai | Aisa Baadshaah Husain Hai

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan-nisaron Ko Salam

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

हम हुसैन वाले हैं / Hum Hussain Wale Hain