ADVERTISEMENT

ज़मीन-ए-कर्बला तुझ पर अली का लाल आया है / Zameen-e-Karbala Tujh Par Ali Ka Laal Aaya Hai

ज़मीन-ए-कर्बला तुझ पर 'अली का लाल आया है
दिखाने हैदरी तेवर 'अली का लाल आया है

अगर तुम बे-नमाज़ी हो, हुसैनी हो नहीं सकते
यही सज्दे में बतला कर 'अली का लाल आया है

चले जब ज़ुलफ़िक़ार-ए-हैदरी मैदान में ले कर
यज़ीदी भाग उठे कह कर 'अली का लाल आया है

नबी के दीन की ख़ातिर मदीने से सफ़र कर के
लुटाने घर कटाने सर 'अली का लाल आया है

क़दम उन के पड़े तो यूँ लगा हैदर उतर आए
ज़मीं भी काँप उठी थर थर, 'अली का लाल आया है


ना'त-ख़्वाँ:
नूर अली नूर कानपुरी





zameen-e-karbala tujh par 'ali ka laal aaya hai
dikhaane haidari tewar 'ali ka laal aaya hai

agar tum be-namaazi ho, husaini ho nahi.n sakte
yahi sajde me.n batla kar 'ali ka laal aaya hai

chale jab zulfiqaar-e-haidari maidaan me.n le kar
yazeedi bhaag uThe keh kar 'ali ka laal aaya hai

nabi ke deen ki KHaatir madine se safar kar ke
luTaane ghar kaTaane sar 'ali ka laal aaya hai

qadam un ke pa.De to yu.n laga haidar utar aae
zamee.n bhi kaanp uThi thar thar, 'ali ka laal aaya hai


Naat-Khwaan:
Noor Ali Noor Kanpuri

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai