ADVERTISEMENT

नूरी नूरी वहाँ का समाँ है शहर ऐसा है मेरे नबी का / Noori Noori Wahan Ka Sama Hai Shehr Aisa Hai Mere Nabi Ka

Noori Noori Wahan Ka Sama Hai Shehr Aisa Hai Mere Nabi Ka Lyrics in Hindi & English

नूरी नूरी वहाँ का समाँ है, शहर ऐसा है मेरे नबी का
नाज़ करता है का'बा भी जिस पर, वो मदीना है मेरे नबी का

कोई भी उन के जैसा नहीं है, ढूँडने से भी मिलता नहीं है
हुस्न-ए-यूसुफ़ भी जिस पर फ़िदा है, ऐसा चेहरा है मेरे नबी का

गुलशन-ए-दीन-ए-हक़ को बचाया, अपने नाना का वा'दा निभाया
हक़ की ख़ातिर गला जो कटाया, वो नवासा है मेरे नबी का

लौट कर कोई आया न ख़ाली, भर के दामन को लौटा सवाली
जिस जगह है फ़रिश्तों का मेला, आस्ताना है मेरे नबी का

मुस्तफ़ा से मोहब्बत करेगा, जाँ की बाज़ी लगाता रहेगा
ज़ुल्म से वो भला क्या डरेगा, जो दिवाना है मेरे नबी का


ना'त-ख़्वाँ:
शहबाज़ रज़ा नूरी





noori noori wahaa.n ka samaa.n hai
shehr aisa hai mere nabi ka
naaz karta hai kaa'ba bhi jis par
wo madina hai mere nabi ka

koi bhi un ke jaisa nahi.n hai
DhoonDne se bhi milta nahi.n hai
husn-e-yusuf bhi jis par fida hai
aisa chehra hai mere nabi ka

gulshan-e-deen-e-haq ko bachaaya
apne naana ka waa'da nibhaaya
haq ki KHaatir gala jo kaTaaya
wo nawaasa hai mere nabi ka

lauT kar koi aaya na KHaali
bhar ke daaman ko lauTa sawaali
jis jagah hai farishto.n ka mela
aastaana hai mere nabi ka

mustafa se mohabbat karega
jaa.n ki baazi lagaata rahega
zulm se wo bhala kya Darega
jo diwaana hai mere nabi ka


Naat-Khwaan:
Shahbaz Raza Noori

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai