ADVERTISEMENT

लक़ब सिद्दीक़ बन जाए सदाक़त हो तो ऐसी हो / Laqab Siddiq Ban Jaye Sadaqat Ho To Aisi Ho

लक़ब सिद्दीक़ बन जाए, सदाक़त हो तो ऐसी हो
मज़ार-ओ-ग़ार के साथी, रफ़ाक़त हो तो ऐसी हो

मेरे सरकार का रौज़ा जो जन्नत से भी आ'ला है
तेरी बेटी का घर है वो, करामत हो तो ऐसी हो

उठाया अपने काँधों पर है सरदार-ए-दो-'आलम को
ख़ुदा की इस अमानत की हिफ़ाज़त हो तो ऐसी हो

दिलबर-ओ-दिलदार हैं सिद्दीक़-ए-अकबर
सहाबा के सरदार हैं सिद्दीक़-ए-अकबर
और हैदर के यार हैं सिद्दीक़-ए-अकबर
हर सुन्नी का प्यार हैं सिद्दीक़-ए-अकबर

तेरी पाकीज़ा बेटी पर ग़लत तोहमत लगी जिस दम
ख़ुदा ने ख़ुद सफ़ाई दी, बराअत हो तो ऐसी हो

ख़ुदा की राह में क़ुर्बान कर डाला है तन-मन-धन
बदन पर टाट ओढ़ा है, सख़ावत हो तो ऐसी हो

शब-ए-हिजरत तेरे दर पर मेरे आक़ा ने दस्तक दी
किसी के सिदक़-ए-ईमाँ पर शहादत हो तो ऐसी हो

बता मंज़र, ऐ ग़ार-ए-सौर ! दीवाने की नज़रों का
कि थे महबूब झोली में, ज़ियारत हो तो ऐसी हो

रसूलुल्लाह तेरे घर में दूल्हा बन के आए थे
घराने हों तो ऐसे हों, क़राबत हो तो ऐसी हो

दिलबर-ओ-दिलदार हैं सिद्दीक़-ए-अकबर
सहाबा के सरदार हैं सिद्दीक़-ए-अकबर
और हैदर के यार हैं सिद्दीक़-ए-अकबर
हर सुन्नी का प्यार हैं सिद्दीक़-ए-अकबर

नबी के बा'द सब असहाब ने क़ाइद तुम्हे माना
'उमर बै'अत, 'अली बै'अत, ख़िलाफ़त हो तो ऐसा हो

'अब्बासी ! तू ग़ुलामी कर नबी के सब सहाबा की
इसी रह में कटे गर्दन, स'आदत हो तो ऐसी हो


शायर:
मौलाना जमीलुर्रहमान अजमल अब्बासी

ना'त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
हाफ़िज़ अहसन क़ादरी





laqab siddiq ban jaae, sadaaqat ho to aisi ho
mazaar-o-Gaar ke saathi, rafaaqat ho to aisi ho

mere sarkaar ka rauza jo jannat se bhi aa'la hai
teri beTi ka ghar hai wo, karaamat ho to aisi ho

uThaaya apne kaandho.n par hai sardaar-e-do-'aalam ko
KHuda ki is amaanat ki hifaazat ho to aisi ho

dilbar-o-dildaar hai.n siddiq-e-akbar
sahaaba ke sardaar hai.n siddiq-e-akbar
aur haidar ke yaar hai.n siddiq-e-akbar
har sunni ka pyaar hai.n siddiq-e-akbar

teri paakeeza beTi par Galat tohmat lagi jis dam
KHuda ne KHud safaai di, baraa.at ho to aisi ho

KHuda ki raah me.n qurbaan kar Daala hai tan-man-dhan
badan par TaaT o.Dha hai, saKHaawat ho to aisi ho

shab-e-hijrat tere dar par mere aaqa ne dastak di
kisi ke sidq-e-imaa.n par shahaadat ho to aisi ho

bata manzar, ai Gaar-e-saur ! deewane ki nazro.n ka
ki the mahboob jholi me.n, ziyaarat ho to aisi ho

rasoolullah tere ghar me.n dulha ban ke aae the
gharaane ho.n to aise ho.n, qaraabat ho to aisi ho

dilbar-o-dildaar hai.n siddiq-e-akbar
sahaaba ke sardaar hai.n siddiq-e-akbar
aur haidar ke yaar hai.n siddiq-e-akbar
har sunni ka pyaar hai.n siddiq-e-akbar

nabi ke baa'd sab as.haab ne qaaid tumhe maana
'umar bai'at, 'ali bai'at, KHilaafat ho to aisi ho

'Abbasi ! tu Gulaami kar nabi ke sab sahaaba ki
isi rah me.n kaTe gardan, sa'aadat ho to aisi ho


Poet:
Maulana Jameel Ur Rahman Ajmal Abbasi

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Hafiz Ahsan Qadri

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai