ADVERTISEMENT

दे कर ख़ुदा को जान की क़ीमत ख़रीद ली / De Kar Khuda Ko Jaan Ki Qeemat Khareed Li

दे कर ख़ुदा को जान की क़ीमत ख़रीद ली
हर 'आशिक़-ए-रसूल ने जन्नत ख़रीद ली

आक़ा ने अपनी ज़िंदगी ग़ुर्बत में काट कर
दुनिया के हर ग़रीब की ग़ुर्बत ख़रीद ली

असग़र के उस तबस्सुम-ए-मा'सूम पर निसार
जिस ने यज़ीदियों की हुकूमत ख़रीद ली

जिस ने नबी की याद को दिल में बसा लिया
समझो कि उस ने ख़ुल्द की राहत ख़रीद ली

सौ बार उस दीवाना-ए-सरकार को सलाम
जिस से ज़ुबैदा बीबी ने जन्नत ख़रीद ली

मशहूर कर दिया मुझे आक़ा की ना'त ने
मैं ने नबी की ना'त से शोहरत ख़रीद ली

मे'राज-ए-मुस्तफ़ाई पे क़ुर्बान जाइए
जिस ने ज़मीं के वास्ते 'अज़मत ख़रीद ली

अल्लाह ने मुस्तफ़ा की रज़ा के लिए, असद !
बाज़ार-ए-मुस्तफ़ाई से उम्मत ख़रीद ली


शायर:
असद इक़बाल कलकत्तवी

ना'त-ख़्वाँ:
असद इक़बाल कलकत्तवी





de kar KHuda ko jaan ki qeemat KHareed li
har 'aashiq-e-rasool ne jannat KHareed li

aaqa ne apni zindagi Gurbat me.n kaaT kar
duniya ke har Gareeb ki Gurbat KHareed li

asGar ke us tabassum-e-maa'soom par nisaar
jis ne yazeediyo.n ki hukoomat KHareed li

jis ne nabi ki yaad ko dil me.n basa liya
samjho ki us ne KHuld ki raahat KHareed li

sau baar us deewaana-e-sarkaar ko salaam
jis se zubaida bibi ne jannat KHareed li

mash.hoor kar diya mujhe aaqa ki naa't ne
mai.n ne nabi ki naa't se shohrat KHareed li

me'raaj-e-mustafaai pe qurbaan jaaiye
jis ne zamee.n ke waaste 'azmat KHareed li

allah ne mustafa ki raza ke liye, Asad !
bazaar-e-mustafaai se ummat KHareed li


Poet:
Asad Iqbal Kalkattavi

Naat-Khwaan:
Asad Iqbal Kalkattavi
Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Khareed Li Naat Lyrics in English | Har Aashiq e Rasool Ne Jannat Khareed Li Lyrics | Mashhoor Kar Diya Mujhe Aaqa Ki Naat Ne Lyrics | Asad Iqbal Naat Lyrics | jan keemat qimat kharid mashoor aqa | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

मेरे हुसैन तुझे सलाम | अस्सलाम या हुसैन / Mere Hussain Tujhe Salaam | Assalam Ya Hussain

आक़ा है हमारा मौला है हमारा / Aaqa Hai Hamara Maula Hai Hamara