ADVERTISEMENT

क़रीब-ए-दयार-ए-हबीब-ए-ख़ुदा में मेरा घर बनाने को जी चाहता है / Qareeb-e-Dayar-e-Habib-e-Khuda Mein Mera Ghar Banane Ko Ji Chahta Hai

क़रीब-ए-दयार-ए-हबीब-ए-ख़ुदा में
मेरा घर बनाने को जी चाहता है
बची ज़िंदगी अपनी सारी की सारी
वहीं पर बिताने को जी चाहता है

चले थे 'उमर क़त्ल करने नबी को
रुख़-ए-मुस्तफ़ा पर नज़र जब पड़ी तो
कहा, मुझ को कलमा पढ़ा दीजे, आक़ा !
कि अब क़ुर्ब पाने को जी चाहता है

बसा जब से नज़रों में है आप का दर
नहीं भाता आँखों को अब कोई मंज़र
'अता कीजिए फिर से इज़्न-ए-मदीना
कि फिर दर पे आने को जी चाहता है

गवर्नर हैं तयबा मुबारक शहर के
वो प्यारे चचा हैं ख़ैर-उल-बशर के
मिले जिन के सदक़े से इज़्न-ए-मदीना
उसी दर पे जाने को जी चाहता है

मदीने की गलियों के दिलकश नज़ारे
जहाँ खेलते थे वो सिब्तैन प्यारे
ख़ुदाया ! उन्ही पाक राहों में अपनी
ये आँखें बिछाने को जी चाहता है

वो जब्ल-ए-उहुद जो है प्यारा नबी का
है ग़ार-ए-हिरा में उजाला नबी का
तजल्ली से उस की दियों को जला कर
वहीं बैठ जाने को जी चाहता है

वो सिद्दीक़-ओ-फ़ारूक़-ओ-'उस्मान-ओ-हैदर
जो हैं सारे असहाब-ए-आक़ा के सरवर
ख़ुदा फ़ज़्ल फ़रमाए तो उन की क़ुर्बत
क़यामत में पाने को जी चाहता है

बक़ी'-ए-मुबारक है इक पाक गुलशन
है अज़्वाज-ओ-आल-ओ-सहाबा का मदफ़न
तसर्रुफ़ नहीं मौत पर अपना वर्ना
वहाँ मर ही जाने को जी चाहता है

ये हसरत है दिल की, ऐ शौक़-ए-फ़रीदी !
क़रीब-ए-नबी हो मेरी भी रसाई
करूँ पेश उन को मैं ना'तों का तोहफ़ा
ये हसरत मिटाने को जी चाहता है


शायर:
शौक़ फ़रीदी

ना'त-ख़्वाँ:
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुसैनी





qareeb-e-dayaar-e-habeeb-e-KHuda me.n
mera ghar banaane ko jee chaahta hai
bachi zindagi apni saari ki saari
wahi.n par bitaane ko jee chaahta hai

chale the 'umar qatl karne nabi ko
ruKH-e-mustafa par nazar jab pa.Di to
kaha, mujh ko kalma pa.Dha deeje, aaqa !
ki ab qurb paane ko jee chaahta hai

basa jab se nazro.n me.n hai aap ka dar
nahi.n bhaata aankho.n ko ab koi manzar
'ata kijiye phir se izn-e-madina
ki phir dar pe aane ko jee chaahta hai

governor hai.n tayba mubaarak shahar ke
wo pyaare chacha hai.n KHair-ul-bashar ke
mile jin ke sadqe se izn-e-madina
usi dar pe jaane ko jee chaahta hai

madine ki galiyo.n ke dilkash nazaare
jahaa.n khelte the wo sibtain pyaare
KHudaya ! unhi paak raaho.n me.n apni
ye aankhe.n bichhaane ko jee chaahta hai

wo jabl-e-uhud jo hai pyaara nabi ka
hai Gaar-e-hira me.n ujaala nabi ka
tajalli se us ki diyo.n ko jala kar
wahi.n baiTh jaane ko jee chaahta hai

wo siddiq-o-faarooq-o-'usmaan-o-haidar
jo hai.n saare as.haab-e-aaqa ke sarwar
KHuda fazl farmaae to un ki qurbat
qayaamat me.n paane ko jee chaahta hai

baqi'-e-mubaarak hai ik paak gulshan
hai azwaaj-o-aal-o-sahaaba ka madfan
tasarruf nahi.n maut par apna warna
wahaa.n mar hi jaane ko jee chaahta hai

ye hasrat hai dil ki, ai Shauq-e-Fareedi !
qareeb-e-nabi ho meri bhi rasaai
karu.n pesh un ko mai.n naa'to.n ka tohfa
ye hasrat miTaane ko jee chaahta hai


Poet:
Shauq Faridi

Naat-Khwaan:
Syed Hassan Ullah Hussaini

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai