ADVERTISEMENT

अगर तयबा की ज़ीनत गुंबद-ए-ख़ज़रा नहीं होता / Agar Taiba Ki Zeenat Gumbad-e-Khazra Nahin Hota

अगर तयबा की ज़ीनत गुंबद-ए-ख़ज़रा नहीं होता
तो उस शहर-ए-हसीं का नाम भी तयबा नहीं होता

अगर विर्द-ए-दुरूद-ए-पाक मक्खियाँ नहीं करतीं
ज़मीं पर मक्खियों का शहद भी मीठा नहीं होता

है जिस के हाथ में दामन जनाब-ए-ग़ौस-ए-आ'ज़म का
नकीरों के सवालों का उसे ख़तरा नहीं होता

कभी का दुश्मनों ने कर दिया होता हमें बे-घर
अगर भारत की धरती पर मेरा ख़्वाजा नहीं होता

सदा आती है ये अब भी मज़ार-ए-आ'ला-हज़रत से
बरेली में कभी ईमान का सौदा नहीं होता

जो साया उन का ढूँडे उस से ये, शो'ऐब ! कह देना
अरे अंधे ! ख़ुदा के नूर का साया नहीं होता


शायर:
शोऐब रज़ा क़ादरी झाँसी

ना'त-ख़्वाँ:
शोऐब रज़ा क़ादरी झाँसी





agar tayba ki zeenat gumbad-e-KHazra nahi.n hota
to us shehr-e-hasee.n ka naam bhi tayba nahi.n hota

agar wird-e-durood-e-paak makkhiyaa.n nahi.n karti.n
zamee.n par makkhiyo.n ka shahad bhi meeTha nahi.n hota

hai jis ke haath me.n daaman janaab-e-Gaus-e-aa'zam ka
nakeero.n ke sawaalo.n ka use KHatra nahi.n hota

kabhi ka dushmano.n ne kar diya hota hame.n be-ghar
agar bhaarat ki dharti par mera KHwaja nahi.n hota

sada aati hai ye ab bhi mazaar-e-aa'la-hazrat se
bareilly me.n kabhi imaan ka sauda nahi.n hota

jo saaya un ka DhoonDe us se ye, Sho'aib ! keh dena
are andhe ! KHuda ke noor ka saaya nahi.n hota


Poet:
Shoaib Raza Qadri Jhansi

Naat-Khwaan:
Shoaib Raza Qadri Jhansi

Comments

Most Popular

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

फ़लक के नज़ारो ज़मीं की बहारो | हुज़ूर आ गए हैं / Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo | Huzoor Aa Gaye Hain

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

चारों तरफ़ नूर छाया | आक़ा का मीलाद आया / Charon Taraf Noor Chhaya | Aaqa Ka Milad Aaya

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

मरहबा या मुस्तफ़ा | नसीब चमके हैं फ़र्शियों के कि अर्श के चाँद आ रहे हैं / Marhaba Ya Mustafa | Naseeb Chamke Hain Farshiyon Ke Ki Arsh Ke Chand Aa Rahe Hain

नूर वाला आया है नूर ले कर आया है / Noor Wala Aaya Hai Noor Le Kar Aaya Hai

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer