कौन है जो ये इल्तिजा न करे | दिल को उन से ख़ुदा जुदा न करे तज़मीन के साथ / Kaun Hai Jo Ye Iltija Na Kare | Dil Ko Un Se Khuda Juda Na Kare With Tazmeen

कौन है जो ये इल्तिजा न करे
कौन उन के लिए मरा न करे
कौन रो रो के ये दु'आ न करे
दिल को उन से ख़ुदा जुदा न करे
बेकसी लूट ले ख़ुदा न करे

'इश्क़ का सर पे डाल कर के ग़िलाफ़
बात अहल-ए-ख़िरद ये सुन लें साफ़
काम है कौन सा शरा' के ख़िलाफ़
इस में रौज़े का सज्दा हो कि तवाफ़
होश में जो न हो वो क्या न करे

रात-दिन हम गुनह में डूबे हैं
जुर्म जितने हैं सारे करते हैं
फिर भी आक़ा करीम ऐसे हैं
ये वही हैं कि बख़्श देते हैं
कौन इन जुर्मों पर सज़ा न करे

'इश्क़ ने कर दिया मुझे मशहूर
उन की यादों से ज़ेहन है मा'मूर
मुझ को इस बात पे है फ़ख़्र ज़रूर
दिल में रौशन है शम'-ए-'इश्क़-ए-हुज़ूर
काश ! जोश-ए-हवस हवा न करे

ज़ख़्म सीने के सारे सीने को
जो यहाँ मर रहे थे जीने को
वसी ! जाम-ए-'इश्क़ पीने को
ले, रज़ा ! सब चले मदीने को
मैं न जाऊँ अरे ख़ुदा न करे


कलाम:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान

तज़मीन:
सय्यिद अब्दुल वसी क़ादरी रज़वी

ना'त-ख़्वाँ:
सय्यिद अब्दुल वसी क़ादरी रज़वी





kaun hai jo ye iltija na kare
kaun un ke liye mara na kare
kaun ro ro ke ye du'aa na kare
dil ko un se KHuda juda na kare
bekasi looT le KHuda na kare

'ishq ka sar pe Daal kar ke Gilaaf
baat ahl-e-KHirad ye sun le.n saaf
kaam hai kaun saa shara' ke KHilaaf
is me.n rauze ka sajda ho ki tawaaf
hosh me.n jo na ho wo kya na kare

raat-din ham gunah me.n Doobe hai.n
jurm jitne hai.n saare karte hai.n
phir bhi aaqa kareem aise hai.n
ye wahi hai.n ki baKHsh dete hai.n
kaun in jurmo.n par saza na kare

'ishq ne kar diya mujhe mash.hoor
un ki yaado.n se zehn hai maa'moor
mujh ko is baat pe hai faKHr zaroor
dil me.n raushan hai sham'-e-'ishq-e-huzoor
kaash ! josh-e-hawas hawa na kare

zaKHm seene ke saare seene ko
jo yahaa.n mar rahe the jeene ko
ai Wasi ! jaam-e-'ishq peene ko
le, Raza ! sab chale madine ko
mai.n na jaau.n are KHuda na kare


Kalam:

Imam Ahmad Raza Khan

Tazmeen:

Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi

Naat-Khwaan:
Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi
Kaun Hai Jo Ye Iltija Na Kare Lyrics in Hindi | Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Tazmeen Lyrics | Sayyed Abdul Wasi Qadri Naat Lyrics in Hindi | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम | अस्सलाम या हुसैन / Mere Hussain Tujhe Salaam | Assalam Ya Hussain

मेरा बादशाह हुसैन है | ऐसा बादशाह हुसैन है / Mera Baadshaah Husain Hai | Aisa Baadshaah Husain Hai

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan Nisaron Ko Salam

हुसैन तुम को ज़माना सलाम कहता है / Hussain Tum Ko Zamana Salam Kehta Hai

सुल्तान-ए-कर्बला को हमारा सलाम हो / Sultan-e-Karbala Ko Hamara Salam Ho

अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की | या हुसैन इब्न-ए-अली / Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki | Ya Hussain Ibne Ali

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

हम हुसैन वाले हैं / Hum Hussain Wale Hain

पैकर-ए-सब्र-ओ-रज़ा, बादशाह-ए-कर्बला, वो हुसैन इब्न-ए-अली / Paikar-e-Sabr-o-Raza, Baadshaah-e-Karbala, Wo Husain Ibn-e-Ali

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)