ADVERTISEMENT

शह-ए-दीं के नालैन उठाने के क़ाबिल / Shah-e-Deen Ke Nalain Uthane Ke Qabil

शह-ए-दीं के ना'लैन उठाने के क़ाबिल
कहाँ मेरा सर उस ख़ज़ाने के क़ाबिल

वो ख़ाक-ए-दयार-ए-हबीब-ए-ख़ुदा है
कहाँ मेरी आँखें लगाने के क़ाबिल

अभी वो बुला लें मुझे एक पल में
मगर मैं कहाँ हूँ बुलाने के क़ाबिल

ख़ुदा की क़सम वो बुलाएँगे मुझ को
मैं हो जाऊँगा जब बुलाने के क़ाबिल

मेरा ज़िक्र छोड़ो, तसव्वुर भी मेरा
नहीं है मदीने में जाने के क़ाबिल

अगर अपने आ'माल को याद कर लूँ
नहीं एक पल मुस्कुराने के क़ाबिल

हूँ शहर-ए-मदीना के कुत्तो का कुत्ता
मैं ये भी नहीं हूँ बताने के क़ाबिल

नकीरैन बस खोल दें मेरी आँखें
नहीं उन को चेहरा दिखाने के क़ाबिल

है जावेद फिर भी मुक़द्दर पे नाज़ाँ
किया रब ने ना'तें सुनाने के क़ाबिल


ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





shah-e-dee.n ke naa'lain uThaane ke qaabil
kahaa.n mera sar us KHazaane ke qaabil

wo KHaak-e-dayaar-e-habeeb-e-KHuda hai
kahaa.n meri aankhe.n lagaane ke qaabil

abhi wo bula le.n mujhe ek pal me.n
magar mai.n kahaa.n hu.n bulaane ke qaabil

KHuda ki qasam wo bulaaenge mujh ko
mai.n ho jaaunga jab bulaane ke qaabil

mera zikr chho.Do, tasawwur bhi mera
nahi.n hai madine me.n jaane ke qaabil

agar apne aa'maal ko yaad kar lu.n
nahi.n ek pal muskuraane ke qaabil

hu.n shehr-e-madina ke kutto ka kutta
mai.n ye bhi nahi.n hu.n bataane ke qaabil

nakeerain bas khol de.n meri aankhe.n
nahi.n un ko chehra dikhaane ke qaabil

hai Jaawed phir bhi muqaddar pe naazaa.n
kiya rab ne naa'te.n sunaane ke qaabil


Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi

Comments

Most Popular

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

फ़लक के नज़ारो ज़मीं की बहारो | हुज़ूर आ गए हैं / Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo | Huzoor Aa Gaye Hain

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

मरहबा या मुस्तफ़ा | नसीब चमके हैं फ़र्शियों के कि अर्श के चाँद आ रहे हैं / Marhaba Ya Mustafa | Naseeb Chamke Hain Farshiyon Ke Ki Arsh Ke Chand Aa Rahe Hain

चारों तरफ़ नूर छाया | आक़ा का मीलाद आया / Charon Taraf Noor Chhaya | Aaqa Ka Milad Aaya

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana