ज़हरा का दिल अली का दुलारा हुसैन है / Zahra Ka Dil Ali Ka Dulara Hussain Hai

ज़हरा का दिल 'अली का दुलारा हुसैन है
प्यारे नबी की आँखों का तारा हुसैन है

हर जन्नती जवाँ की क़यादत है उस के हाथ
अल्लाह की नज़र में यूँ प्यारा हुसैन है

काँधे पे जो रसूल के होता रहा सवार
क़िस्मत का एक शोख़ सितारा हुसैन है

मैदान-ए-कर्बला से है गूँजी यही सदा
इस्लाम का सुतून-ओ-सहारा हुसैन है

सर को कटा के, मोमिनो ! साबित ये कर दिया
ईमान और यक़ीन का धारा हुसैन है

इस्लाम के लिए थी शहादत हुसैन की
सौग़ात-ए-नानाजान पे वारा हुसैन है

'उक़्बा का ताजवर ही नहीं है 'अली का ला'ल
दुनिया के हर जवाँ में भी न्यारा हुसैन है

जिस ने यज़ीदियों से सुल्ह-ए-कुल न की कभी
बातिल के सर पे हक़ का शरारा हुसैन है


शायर:
हाफ़िज़ुल्लाह क़ासमी

ना'त-ख़्वाँ:
संदली अहमद





zahra ka dil, 'ali ka dulaara husain hai
pyaare nabi ki aankho.n ka taara husain hai

har jannati jawaa.n ki qayaadat hai us ke haath
allah ki nazar me.n yu.n pyaara husain hai

kaandhe pe jo rasool ke hota raha sawaar
qismat ka ek shoKH sitaara husain hai

maidaan-e-karbala se hai goonji yahi sada
islaam ka sutoon-o-sahaara husain hai

sar ko kaTa ke, momino ! saabit ye kar diya
imaan aur yaqeen ka dhaara husain hai

islaam ke liye thi shahaadat husain ki
sauGaat-e-naanaajaan pe waara husain hai

'uqba ka taajwar hi nahi.n hai 'ali ka laa'l
duniya ke har jawaa.n me.n bhi nyaara husain hai

jis ne yazeediyo.n se sulh-e-kul na ki kabhi
baatil ke sar pe haq ka sharaara husain hai


Poet:
Hafizullah Qasmi

Naat-Khwaan:
Sandali Ahmad
Read Zahra Ka Dil Ali Ka Dulara Hussain Hai Lyrics in Hindi, Urdu & English. पढ़ें हज़रत इमाम हुसैन की याद में यह ख़ूबसूरत मंक़बत लिरिक्स। Zahra Ka Dil Ali Ka Dulara Hussain Hai Lyrics in English | pyare nabi ki aankhon ka tara hussain hai lyrics in hindi | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)