दरबार-ए-मुस्तफ़ा के जो दरबान हो गए / Darbar-e-Mustafa Ke Jo Darban Ho Gaye

दरबार-ए-मुस्तफ़ा के जो दरबान हो गए
वो लोग काएनात के सुल्तान हो गए

जन्नत खड़ी है लेने को आग़ोश में उन्हें
जो भी रसूल-ए-पाक पे क़ुर्बान हो गए

नज्दी से कह दो हम पे न डाले बुरी नज़र
अहमद रज़ा हमारे निगहबान हो गए

ख़ाक-ए-दर-ए-हुसैन को जिस ने भी मल लिया
उस पर सितारे-चाँद भी क़ुर्बान हो गए

रू-ए-नबी पे जिस घड़ी उन की नज़र पड़ी
आए थे क़त्ल करने मुसलमान हो गए

कोई किसी के पीछे, किसी का कोई इमाम
हम मुक़तदी-ए-हज़रत-ए-हस्सान हो गए

सज्जाद ! ये निगाह-ए-नबुव्वत का फ़ैज़ था
ख़्वाजा पिया जो हिन्द के सुल्तान हो गए


शायर:
सज्जाद निज़ामी

ना'त-ख़्वाँ:
सज्जाद निज़ामी





darbaar-e-mustafa ke jo darbaan ho gaye
wo log kaaenaat ke sultaan ho gaye

jannat kha.Di hai lene ko aaGosh me.n unhe.n
jo bhi rasool-e-paak pe qurbaan ho gaye

najdi se keh do ham pe na Daale buri nazar
ahmad raza hamaare nigehbaan ho gaye

KHaak-e-dar-e-husain ko jis ne bhi mal liya
us par sitaare-chaand bhi qurbaan ho gaye

roo-e-nabi pe jis gha.Di un ki nazar pa.Di
aae the qatl karne musalmaan ho gaye

koi kisi ke peechhe, kisi ka koi imaam
ham muqtadi-e-hazrat-e-hassaan ho gaye

Sajjaad ! ye nigaah-e-nabuwwat ka faiz tha
KHwaja piya jo hind ke sultaan ho gaye


Poet:
Sajjad Nizami

Naat-Khwaan:
Sajjad Nizami

Comments