ADVERTISEMENT

जश्न-ए-नबी करेंगे बड़ी धूम-धाम से | आला हज़रत के दीवाने / Jashn-e-Nabi Karenge Badi Dhoom Dhaam Se | Ala Hazrat Ke Deewane

जश्न-ए-नबी करेंगे बड़ी धूम-धाम से
मतलब नहीं है हम को यज़ीदी निज़ाम से
तकलीफ़ जिस को होगी दुरूद-ओ-सलाम से
तकलीफ़ उस को देंगे रज़ा के कलाम से

आ'ला हज़रत के दीवाने
आ'ला हज़रत के दीवाने

सुन कर रज़ा का ज़िक्र तलबगार हो गए
जो सो रहे थे नींद से बेदार हो गए
जब बात आ गई है नबी के वक़ार पर
ये जान लुटाने को भी तय्यार हो गए

आ'ला हज़रत के दीवाने
आ'ला हज़रत के दीवाने

मर्कज़ मेरा बरेली है मेरी वफ़ा के साथ
बीमार चल रहे हैं मुकम्मल शिफ़ा के साथ
गुस्ताख़ देख लेंगे ये मैदान-ए-हश्र में
हैं क़ादरी फ़क़ीर, रहेंगे रज़ा के साथ

आ'ला हज़रत के दीवाने
आ'ला हज़रत के दीवाने

चारों तरफ़ से कुफ़्र के शो'ले उबल पड़े
करने लगे हुज़ूर पे हमले बड़े बड़े

कोई कहे हुज़ूर को अपनी तरह बशर
ज़िक्र-ए-नबी को कोई कहे ग़ैर-मो'तबर

कोई नबी के 'इल्म पे ता'ना-ज़नी करे
कलमा पढ़े उन्हीं का, उन्हीं को बुरा कहे

तौहीन कर रही थीं ये बातिल जमा'अतें
मग़्मूम हो रही थीं दिलों की समा'अतें

'आशिक़ नबी के रो के ये कहते थे बार-बार
कब आएगा हमारे 'अक़ीदों का पहरे-दार

नामूस-ए-मुस्तफ़ा की हिफ़ाज़त करेगा कौन ?
नज्दी वहाबियों से मुक़म्मल लड़ेगा कौन ?

अल्लाह का करम हुआ वो ज़ात आ गई
हम सुन्नियों के वास्ते इमदाद आ गई

बेटा नक़ी का बन के रज़ा ख़ान आ गए
तस्वीर-ए-सुन्नियत के निगहबान आ गए

बचपन से जिस ने 'इश्क़ पढ़ा था हुज़ूर का
जिस पर नशा चढ़ा था शराब-ए-तहूर का

हर लफ़्ज़ जिस का 'इश्क़-ए-रिसालत-मआब है
बग़दाद वाले पीर का जो इंतिख़ाब है

वो आ गया जो 'इश्क़ का मतलब बताएगा
नज्दी वहाबियों से 'अक़ीदा बचाएगा

अहमद रज़ा के नाम से मशहूर होगा जो
मारहरा वाले पीर को मंज़ूर होगा जो

हम सब उसी के नाम का ना'रा लगाएँगे
भटके हुए दिलों को मदीना बनाएँगे

आ'ला हज़रत के दीवाने
आ'ला हज़रत के दीवाने

अख़्तर रज़ा के चाहने वाले हैं हम, जनाब !
अख़्तर रज़ा के नाम का ना'रा लगाएँगे
माना है पीर ताज-ए-शरी'अत को जान से
ये जान है उन्हीं की, उन्हीं पर लुटाएँगे

आ'ला हज़रत के दीवाने
आ'ला हज़रत के दीवाने

जो दिल लगा चुके हैं, न मोड़ेंगे हश्र तक
वा'दा किया जो ख़ुद से, न तोड़ेंगे हश्र तक
अख़्तर रज़ा की जान हैं असजद रज़ा मेरे
असजद रज़ा का साथ न छोड़ेंगे हश्र तक

आ'ला हज़रत के दीवाने
आ'ला हज़रत के दीवाने


ना'त-ख़्वाँ:
ग़ुलाम नूर-ए-मुजस्सम





jashn-e-nabi karenge ba.Di dhoom-dhaam se
matlab nahi.n hai ham ko yazeedi nizaam se
takleef jis ko hogi durood-o-salaam se
takleef us ko denge raza ke kalaam se

aa'la hazrat ke deewane
aa'la hazrat ke deewane

sun kar raza ka zikr talabgaar ho gaye
jo so rahe the neend se bedaar ho gaye
jab baat aa gai hai nabi ke waqaar par
ye jaan luTaane ko bhi tayyaar ho gaye

aa'la hazrat ke deewane
aa'la hazrat ke deewane

markaz mera bareilly hai meri wafa ke saath
beemaar chal rahe hai.n mukammal shifa ke saath
gustaaKH dekh lenge ye maidaan-e-hashr me.n
hai.n qaadri faqeer, rahenge raza ke saath

aa'la hazrat ke deewane
aa'la hazrat ke deewane

chaaro.n taraf se kufr ke sho'le ubal pa.De
karne lage huzoor pe hamle ba.De ba.De

koi kahe huzoor ko apni tarah bashar
zikr-e-nabi ko koi kahe Gair-mo'tabar

koi nabi ke 'ilm pe taa'na-zani kare
kalma pa.Dhe unhi.n ka, unhi.n ko bura kahe

tauheen kar rahi thi.n ye baatil jamaa'ate.n
maGmoom ho rahi thi.n dilo.n ki samaa'ate.n

'aashiq nabi ke ro ke ye kehte the baar-baar
kab aayega hamaare 'aqeedo.n ka pehre-daar

naamoos-e-mustafa ki hifaazat karega kaun ?
najdi wahaabiyo.n se muqammal la.Dega kaun ?

allah ka karam huaa wo zaat aa gai
ham sunniyo.n ke waaste imdaad aa gai

beTa naqi ka ban ke raza KHaan aa gaye
tasweer-e-sunniyat ke nigehbaan aa gaye

bachpan se jis ne 'ishq pa.Dha tha huzoor ka
jis par nasha cha.Dha tha sharaab-e-tahoor ka

har lafz jis ka 'ishq-e-risaalat-ma.aab hai
baGdaad waale peer ka jo intiKHaab hai

wo aa gaya jo 'ishq ka matlab bataaega
najdi wahaabiyo.n se 'aqeeda bachaaega

ahmad raza ke naam se mash.hoor hoga jo
maarehra waale peer ko manzoor hoga jo

ham sab usi ke naam ka naa'ra lagaaenge
bhaTke hue dilo.n ko madina banaaenge

aa'la hazrat ke deewane
aa'la hazrat ke deewane

aKHtar raza ke chaahne waale hai.n ham, janaab !
aKHtar raza ke naam ka naa'ra lagaaenge
maana hai peer taaj-e-sharee'at ko jaan se
ye jaan hai unhi.n ki, unhi.n par luTaaenge

aa'la hazrat ke deewane
aa'la hazrat ke deewane

jo dil laga chuke hai.n, na mo.Denge hashr tak
waa'da kiya jo KHud se, na to.Denge hashr tak
aKHtar raza ki jaan hai.n asjad raza mera
asjad raza ka saath na chho.Denge hashr tak

aa'la hazrat ke deewane
aa'la hazrat ke deewane


Naat-Khwaan:
Gulam Noore Mujassam

Comments

Most Popular

मुस्तफ़ा के पाले हैं हम बरेली वाले हैं / Mustafa Ke Pale Hain Hum Bareilly Wale Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

मस्लक-ए-आला-हज़रत सलामत रहे | या ख़ुदा चर्ख़-ए-इस्लाम पर ता-अबद / Maslak-e-Ala-Hazrat Salamat Rahe | Ya Khuda Charkh-e-Islam Par Ta-Abad

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

जो सुन्नियत की शान है रज़ा उसी का नाम है | रज़ा रज़ा रज़ा रज़ा / Jo Sunniyat Ki Shaan Hai Raza Usi Ka Naam Hai | Raza Raza Raza Raza

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana