ADVERTISEMENT

कोई मंसूर कोई बन के ग़ज़ाली आए / Koi Mansoor Koi Ban Ke Ghazali Aae

कोई मंसूर, कोई बन के ग़ज़ाली आए
उन के दरबार से हो कर जो सवाली आए

हो मेरे बस में तो मैं दिल में बिठा लूँ उन को
चूम कर जो मेरे सरकार की जाली आए

उन की रहमत को तो ये बात गवारा ही नहीं
उन की चौखट पे कोई जाए तो ख़ाली आए

उन के अल्ताफ़-ओ-करम बढ़ के ख़रीदेंगे उन्हें
आज भी ले के कोई ज़ौक़-ए-बिलाली आए

उन का जल्वा तो है मौजूद यहाँ भी लेकिन
कोई ले कर तो नज़र देखने वाली आए

आँख खोलूँ तो नज़र गुंबद-ए-ख़ज़रा पे पड़े
दिल में झाँकूँ तो नज़र जल्वा-ए-'आली आए


ना'त-ख़्वाँ:
क़ारी शाहिद महमूद क़ादरी
हाफ़िज़ कामरान क़ादरी





koi mansoor, koi ban ke gazaali aae
un ke darbaar se ho kar jo sawaali aae

ho mere bas me.n to mai.n dil me.n biTha lu.n un ko
choom kar jo mere sarkaar ki jaali aae

un ki rahmat ko to ye baat gawaara hi nahi.n
un ki chaukhaT pe koi jaae to KHaali aae

un ke altaaf-o-karam ba.Dh ke KHareedenge unhe.n
aaj bhi le ke koi zauq-e-bilaali aae

un ka jalwa to hai maujood yaha.n bhi lekin
koi le kar to nazar dekhne waali aae

aankh kholu.n to nazar gumbad-e-KHazra pe pa.De
dil me.n jhaanku.n to nazar jalwa-e-'aali aae


Naat-Khwaan:
Qari Shahid Mahmood Qadri
Hafiz Kamran Qadri
Koi Mansoor Koi Ban Ke Ghazali Aye Lyrics in Hindi | Unke Darbar Se Ho Kar Jo Sawali Aye Lyrics | Unki Rehmat Ko To Ye Baat Gawara Hi Nahi Lyrics | masnur banke k gazali gajali ghajali aaye suwali suwaali hokar rahemat rehamat bat gavara nahin lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer