ADVERTISEMENT

फ़िदा आप का ये ग़ुलाम आप पर हो / Fida Aap Ka Ye Ghulam Aap Par Ho

मता'-ए-दिल-ओ-जाँ निसार आप पर हो
फ़िदा आप का ये ग़ुलाम आप पर हो

बड़ी मुद्दतों से ये चाहत है दिल की
हों शहर-ए-नबी में, सलाम आप पर हो

कभी अश्क-बारी, कभी आह-ओ-ज़ारी
ख़ुलूस-ए-मोहब्बत तमाम आप पर हो

उहुद का वो मैदाँ, वो ताइफ़ की वादी
वो ख़ाक-ए-मदीना निसार आप पर हो

ये इक जान क्या गर करोड़ों हों जानें
फ़ना, ऐ हबीब-ए-अनाम ! आप पर हो

इसी के हैं क़ाबिल मेरे मुस्तफ़ा तो
कि क़ुर्बान सारा जहान आप पर हो

दर-ए-मुस्तफ़ा पर जो जाओ तो कहना
सना-ख़्वाँ का आक़ा सलाम आप पर हो

ख़ुदा बिन्त-ए-ताहिर की क़िस्मत में लिख दे
हो दीदार उन का कलाम आप पर हो


शायर:
बिन्त-ए-ताहिर

ना'त-ख़्वाँ:
यासिर सुहरवर्दी





mata'-e-dil-o-jaa.n nisaar aap par ho
fida aap ka ye Gulaam aap par ho

ba.Di muddato.n se ye chaahat hai dil ki
ho.n shahr-e-nabi me.n, salaam aap par ho

kabhi ashk-baari, kabhi aah-o-zaari
KHuloos-e-mohabbat tamaam aap par ho

uhud ka wo maidaa.n, wo taaif ki waadi
wo KHaak-e-madina nisaar aap par ho

ye ik jaan kya gar karo.Do.n ho.n jaane.n
fana, ai habeeb-e-anaam ! aap par ho

isi ke hai.n qaabil mere mustafa to
ki qurbaan saara jahaan aap par ho

dar-e-mustafa par jo jaao to kehna
sana-KHwaa.n ka aaqa salaam aap par ho

KHuda Bint-e-Taahir ki qismat me.n likh de
ho deedaar un ka kalaam aap par ho


Poet:
Bint-e-Tahir

Naat-Khwaan:
Yasir Soharwardi
Fida Aap Ka Yeh Ghulam Aap Par Ho Lyrics | Fida Aap Ka Ye Ghulam Aap Par Ho Lyrics in Hindi | Mata e Dil o Jaan Nisar Aap Par Ho Lyrics in English | New 2023 Naat - Fida Aap Ka Yeh Ghulam Aap Par Ho - Yasir Soharwardi - Peace Studio - New Naat | gulam dilo jan lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer